ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
More from Umair Najmi
ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda yaanii taalluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga
Umair Najmi
10 likes
tum is kharaabe men chaar chhe din tahal gaii ho so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gaii ho tamaam din is dua men katata hai kuchh dinon se main jaaun kamre men to udaasi nikal gaii ho kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh men KHamosh jungle men jaise bandooq chal gaii ho ye na ho gar main hiloon to girne lage burada dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gaii ho ye chhote chhote kaii hawadis jo ho rahe hain kisi ke sar se badi museebat na tal gaii ho hamaara malba hamaare qadmon men aa giraa hai plate men jaise mom-batti pighal gaii ho
Umair Najmi
10 likes
tum ko vehshat to seekha dii guzaarein laayak aur koi hukm koi kaam hamaare laayak maazrat men to kisi aur ke masraf men hun dhoondh deta hu magar koi tumhaare laayak ek do zakhmon ki gehraai aur aankhoñ ke khandar aur kuchh khaas nahin mujh men nazaare laayak ghonsla chaav haraa rang samar kuchh bhi nahin dekh mujh jaise shajar hote hai aare laayak is ilaaqe men ujaalon ki jagah koi nahin sirf parcham hai yahaan chaand sitaare laayak mujh nikam men ko chuna us ne taras kha ke umer dekhte rah ga.e hasrat se bechaare laayak
Umair Najmi
23 likes
main barsh chhod chuka aakhiri tasveer ke baad mujh se kuchh ban nahin paaya tiri tasveer ke baad mushtarik dost bhi chhoote hain tujhe chhodne par ya'ni deewaar hataani padi tasveer ke baad yaar tasveer men tanhaa hooñ magar log mile kaii tasveer se pahle kaii tasveer ke baad doosra ishq muyassar hai magar karta nahin kaun dekhega puraani nayi tasveer ke baad bhej deta hooñ magar pahle bataa doon tujh ko mujh se milta nahin koi mirii tasveer ke baad khushk deewaar men seelan ka sabab kya hogaa ek addad zang lagii keel thii tasveer ke baad
Umair Najmi
28 likes
bade tahammul se rafta rafta nikaalna hai bacha hai jo tujh men meraa hissa nikaalna hai ye rooh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalna hai nazar men rakhna kahii koi gham-shanaas gaahak mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai nikaal laaya hooñ ek pinjare se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikaalna hai ye tees barson se kuchh baras peeche chal rahi hai mujhe ghadi ka KHaraab purza nikaalna hai khayal hai khaandaan ko ittilaa' de doon jo kat gaya us shajar ka shajra nikaalna hai main ek kirdaar se badaa tang hooñ qalamkaar mujhe kahaanii men daal ghussa nikaalna hai
Umair Najmi
33 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Umair Najmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Umair Najmi's ghazal.







