ghazalKuch Alfaaz

jahaan bhar ki tamaam aañkhen nichod kar jitna nam banega ye kul mila kar bhi hijr ki raat mire girye se kam banega main dasht hooñ ye mughalata hai na sha'iraana mubaalgha hai mire badan par kahii qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banega hamaara laashaa bahao warna lahd muqaddas mazaar hogii ye surkh kurta jalao warna baghawaton ka alam banega to kyun na ham paanch saath din tak mazid sochen banaane se qabl mirii chhatti his bataa rahi hai ye rishta tootega gham banega mujh aise logon ka tedh-pan qudrati hai so e'itraaz kaisa shadeed nam KHaak se jo paikar banega ye tay hai KHam banega suna hua hai jahaan men be-kaar kuchh nahin hai so jee rahe hain banaa hua hai yaqeen ki is raegaani se kuchh ahem banega ki shahzaade ki aadaten dekh kar sabhi is par muttafiq hain ye jun hi haakim banaa mahal ka wasi'a raqba haram banega main ek tarteeb se lagata raha hooñ ab tak sukoot apna sadaa ke waqfe nikaal is ko shuruat se sun ridham banega safed roomaal jab kabootar nahin banaa to vo sho'bda-baaz palatne waalon se kah raha tha ruko KHuda ki qasam banega

Related Ghazal

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

main raah-e-jannat ka asl naqsha chura raha tha so ungliyon ko tere labon par fira raha tha main isliye bhi sar apna haan men hila raha tha mujhe pata hai tu sirf baatein banaa raha tha bichhad ke hamse hamaari ghalti gina raha tha hamaara gham tha humeen ko aañkhen dikha raha tha vo KHud ko duniya ka ek hissa banaa chuki thii main apne hisse ka pyaar jis par luta raha tha tumheen ne jaane ko kah diya hai tumheen kahoge use bulao vo she'r achchhe suna raha tha

Vikram Gaur Vairagi

29 likes

kahii akelaa men mil kar jhinjhod dooñga use jahaan jahaan se vo toota hai jod dooñga use mujhe vo chhod gaya ye kamaal hai us ka iraada main ne kiya tha ki chhod dooñga use badan chura ke vo chaltaa hai mujh se sheesha-badan use ye dar hai ki main tod phod dooñga use paseene baantaa firta hai har taraf suraj kabhi jo haath laga to nichod dooñga use mazaa chakha ke hi maana hooñ main bhi duniya ko samajh rahi thii ki aise hi chhod dooñga use

Rahat Indori

32 likes

ek bhayaanak toofan aaya poora chappar uda diya lekin phir meri himmat ne saara manzar uda diya jitna paisa laai thii vo hafton tak bartan dhoke uske shauhar ne ik din men daaru peekar uda diya haar ga.e jab duniya ke sab veer bahadur aur raja ik ladke ne dhanush uthaya aur swayamvar uda diya hairaani se dang hue tab jaadu dekh rahe sab log ek kabootar ne nibhaiye men jab farmaish uda diya doob chuke the uski aankhoñ men ham itne mat poochho kya batlaayein chidiya ud men hamne bandar uda diya

Tanoj Dadhich

21 likes

ik pari sii pyaari ladki sone kii narm haathon men angoo thii sone kii uskaa chehra jaise chaan dii ka hai aur uski aañkhen jaise lagti sone kii aayi love yuuñ bol mujh...ko phir tu dekh haath pahna dunga choo dii sone kii ham fakeeron men gine jaate hai aur uske kangan uski choo dii sone kii neend aati hi nahin thii tab mujhe jab zaroorat thii mujhe bhi sone kii uski qeemat kitnii hai mat pooch dost uske aage duniya feeki sone kii shyaam to meera na ho paaya teraa kya karegi ab ye moorti sone kii vo teri ho hi nahin sakti saleem maati ka tu aur vo poori sone kii

BR SUDHAKAR

25 likes

More from Umair Najmi

tum is kharaabe men chaar chhe din tahal gaii ho so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gaii ho tamaam din is dua men katata hai kuchh dinon se main jaaun kamre men to udaasi nikal gaii ho kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh men KHamosh jungle men jaise bandooq chal gaii ho ye na ho gar main hiloon to girne lage burada dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gaii ho ye chhote chhote kaii hawadis jo ho rahe hain kisi ke sar se badi museebat na tal gaii ho hamaara malba hamaare qadmon men aa giraa hai plate men jaise mom-batti pighal gaii ho

Umair Najmi

10 likes

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda ya'ni ta'alluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga

Umair Najmi

20 likes

main barsh chhod chuka aakhiri tasveer ke baad mujh se kuchh ban nahin paaya tiri tasveer ke baad mushtarik dost bhi chhoote hain tujhe chhodne par ya'ni deewaar hataani padi tasveer ke baad yaar tasveer men tanhaa hooñ magar log mile kaii tasveer se pahle kaii tasveer ke baad doosra ishq muyassar hai magar karta nahin kaun dekhega puraani nayi tasveer ke baad bhej deta hooñ magar pahle bataa doon tujh ko mujh se milta nahin koi mirii tasveer ke baad khushk deewaar men seelan ka sabab kya hogaa ek addad zang lagii keel thii tasveer ke baad

Umair Najmi

28 likes

main ne jo raah li dushwaar ziyaada nikli mere andaaze se har baar ziyaada nikli koi rozan na jharoka na koi darwaaza mirii ta'aamir men deewaar ziyaada nikli ye mirii maut ke asbaab men likha hua hai KHoon men ishq ki miqdaar ziyaada nikli kitnii jal dii diya ghar waalon ko phal aur saaya mujh se to ped ki raftaar ziyaada nikli

Umair Najmi

10 likes

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda yaanii taalluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga

Umair Najmi

10 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Umair Najmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Umair Najmi's ghazal.