ghazalKuch Alfaaz

ek bhayaanak toofan aaya poora chappar uda diya lekin phir meri himmat ne saara manzar uda diya jitna paisa laai thii vo hafton tak bartan dhoke uske shauhar ne ik din men daaru peekar uda diya haar ga.e jab duniya ke sab veer bahadur aur raja ik ladke ne dhanush uthaya aur swayamvar uda diya hairaani se dang hue tab jaadu dekh rahe sab log ek kabootar ne nibhaiye men jab farmaish uda diya doob chuke the uski aankhoñ men ham itne mat poochho kya batlaayein chidiya ud men hamne bandar uda diya

Related Ghazal

aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha

Zubair Ali Tabish

48 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

kabhi KHud pe kabhi haalaat pe rona aaya baat nikli to har ik baat pe rona aaya ham to samjhe the ki ham bhool ga.e hain un ko kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya kis li.e jeete hain ham kis ke li.e jeete hain baarha aise savaalaat pe rona aaya kaun rota hai kisi aur ki khaatir ai dost sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya

Sahir Ludhianvi

29 likes

haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki dost bas meri tabiyat nahin ki isliye gaanv main sailaab aaya hamne daryaao ki izzat nahin ki jism tak usne mujhe saunp diya dil ne is par bhi kanaayat nahin ki mere e'jaz men rakhi gaii thii maine jis bazm men shirkat nahin ki yaad bhi yaad se rakha us..ko bhool jaane men bhi gafalat nahin ki us..ko dekha tha ajab haalat men phir kabhi uski hifaazat nahin ki ham agar fatah hue hai to kya ishq ne kis pe hukoomat nahin ki

Tehzeeb Hafi

74 likes

tu samajhta hai teraa hijr gawara karke baith jaayenge mohabbat se kinaara karke khudkushi karne nahin dii teri aankhoñ ne mujhe laut aaya hooñ main dariyaa ka nazaara karke jee to karta hai use paanv tale raundane ko chhod deta hooñ muqaddar ka sitaara karke karna ho tark-e-t'alluq to kuchh aise karna hamko takleef na ho zikr tumhaara karke isliye us..ko dilaata hooñ main ghussa taabish taaki dekhooñ main use aur bhi pyaara karke

Abbas Tabish

31 likes

More from Tanoj Dadhich

chamchamaati car men uski bidaai ho gayi par yaqeen aata nahin hai bewafaai ho gayi park men sab dost mere raah dekhen hain meri ab to jaane do mujhe ab to padhaai ho gayi aadmi ko aur bacchon ko pata chaltaa nahin roti sabzi kab banii aur kab safaaii ho gayi aao baitho ab suno taarif meri doston jisne chhoda hai mujhe uski buraai ho gayi aakhri choti se girkar ham mare hain ishq ki ham samjhte the himalaya ki chadhaai ho gayi

Tanoj Dadhich

13 likes

kal tak jo shakhs saath mere tha chala gaya aisa laga ki aankh men tinka chala gaya milne vo aa.e aur akelaa hi aa.e hain yaanii ki catch chhoot ke chauka chala gaya main bol jab raha tha nahin rok paa.e vo so raat bhar main she'r sunaata chala gaya kamzoriyaan bataa ke use sochta hooñ main aate men paani had se ziyaada chala gaya be-fikr tha tanoj KHabar hi nahin hui vo paas aaya dil ko nikala chala gaya

Tanoj Dadhich

17 likes

kal uski aarti maine utaari magar mat poochna kaise utaari gale tak aa gayi thii baat mere so paani pee liya neeche utaari use bhi maut ne kuchh din pukaara vo jisne laash pankhe se utaari

Tanoj Dadhich

11 likes

samjhti hai ghazal duniya ki dil naadaan hai yaaron ise bhi aadmi ki ab zaraa pahchaan hai yaaron virodhi team men tha to use baahar bithaate the hamaari team men aakar banaa kaptaan hai yaaron tasavvur tajurba tevar tamannaa aur tanhaaii milenge phool sab is men ghazal guldaan hai yaaron KHuda ki baat hai to phir meraa kehna hai bas itnaa kitaabi gyaan se behtar zaraa sa dhyaan hai yaaron padhaai naukri shaa dii phir uske do bacche hamaari zindagi itni kahaan aasaan hai yaaron

Tanoj Dadhich

5 likes

ab naye sapne sajaana aapko shaa dii mubarak raat din bas muskurana aapko shaa dii mubarak yaad karvaai thii maine jo ghazal meri kabhi vo ho sake to bhool jaana aapko shaa dii mubarak jaanta hooñ man karega baat karlen ik dafa bas phone lekin mat lagana aapko shaa dii mubarak door ab maa baap se ghar se hamesha hi rahoge waqt par kha lena khaana aapko shaa dii mubarak aapse ye iltijaa main jab kabhi tv pe aaun aap channel mat hatana aapko shaa dii mubarak pooch le koi saheli kya hua us ishq ka to dosh mujhpar hi lagana aapko shaa dii mubarak aapne shaa dii rachaai to meri ummeed tooti shukriya karta deewaana aapko shaa dii mubarak

Tanoj Dadhich

22 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tanoj Dadhich.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tanoj Dadhich's ghazal.