ghazalKuch Alfaaz

tu samajhta hai teraa hijr gawara karke baith jaayenge mohabbat se kinaara karke khudkushi karne nahin dii teri aankhoñ ne mujhe laut aaya hooñ main dariyaa ka nazaara karke jee to karta hai use paanv tale raundane ko chhod deta hooñ muqaddar ka sitaara karke karna ho tark-e-t'alluq to kuchh aise karna hamko takleef na ho zikr tumhaara karke isliye us..ko dilaata hooñ main ghussa taabish taaki dekhooñ main use aur bhi pyaara karke

Abbas Tabish31 Likes

Related Ghazal

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge

Khalil Ur Rehman Qamar

50 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe

Abrar Kashif

54 likes

More from Abbas Tabish

koi takra ke subuk-sar bhi to ho saka hai meri ta'aamir men patthar bhi to ho saka hai kyun na ai shaKHs tujhe haath laga kar dekhooñ tu mire vaham se badh kar bhi to ho saka hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniya teraa shak aur kisi par bhi to ho saka hai ye jo hai phool hatheli pe ise phool na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saka hai shaakh par baithe parinde ko udaane waale ped ke haath men patthar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki baahar hi numoo ho meri meraa khilna mire andar bhi to ho saka hai ye jo hai ret ka teela mire qadmon ke tale koi dam men mire u uupar bhi to ho saka hai kya zaroori hai ki ham haar ke jeeten taabish ishq ka khel barabar bhi to ho saka hai

Abbas Tabish

8 likes

tum ho to qareeb aur qareeb-e-rag-e-jaan ho phir kyuuñ ye mujhe poochna padta hai kahaan ho mumkin hai ki is baag men dam ghutne ka baays khushboo jise kahte hain vo phoolon ka dhuaa ho tumse to padhi jaati nahin ashqon ki sataren jaise ye kisi aur jahaan ki zubaan ho is tarah sare-farsh-e-'aza bai thii hai taabish jaise ye udaasi kisi maqtool ki maa ho maa thii to mujhe raat nahin padtii thii baahar ab koi nahin poochta abbaas kahaan ho

Abbas Tabish

7 likes

tootte ishq men kuchh haath bantaate jaate saara malba mere u uupar na giraate jaate itni ujlat men bhi kya aankh se ojhal hona ja rahe the to mujhe tum nazar aate jaate kam se kam rakhta palatne ki tavqko tum se haath men haath liya tha to dabate jaate kin andheron men mujhe chhod diya hai tumne is se behtar tha mujhe aag lagaate jaate main bhi hota tere raaste ke darakhton men darakht is tarah dekh to leta tujhe aate jaate

Abbas Tabish

12 likes

judaai ka zamaana yuñ thikaane lag gaya tha bichhad kar usse main likhne likhaane lag gaya tha t abhii to zang aalooda hui talwaar meri main dushman par muhabbat aazmaane lag gaya tha abhii samjha raha tha vo mujhe bose ka matlab ki main shahtoot ke ras men nahaane lag gaya tha mohabbat ho nahin paai to uskaa kya karoon main ki main to us gali men aane jaane lage gaya tha t abhii to meri aankhoñ ko nahin rone ki aadat main chhoti umr men aañsu chhupaane lag gaya tha

Abbas Tabish

19 likes

ye bataa yaum-e-mohabbat ka samaan hai ki nahin shahar ka shahar gulaabon ki dukaaan hai ki nahin aadatan uske li.e phool khareede varna nahin maaloom vo is baar yahaañ hai ki nahin ye tere baad jo leta hooñ main lambi saansen mujh...ko ye jaanna hai jism men jaañ hai ki nahin ham to phoolon ke evaz phool liya karte hain kya khabar iska rivaaz aap ke yahaañ hai ki nahin us gali ka to pata theek bataaya tune ye bataa us men vo dildaar makaan hai ki nahin pahle to mujh...ko dilaate hai vo ghussa taabish aur phir poochte hai munh men zabaan hai ki nahin

Abbas Tabish

13 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abbas Tabish.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abbas Tabish's ghazal.