ghazalKuch Alfaaz

kal tak jo shakhs saath mere tha chala gaya aisa laga ki aankh men tinka chala gaya milne vo aa.e aur akelaa hi aa.e hain yaanii ki catch chhoot ke chauka chala gaya main bol jab raha tha nahin rok paa.e vo so raat bhar main she'r sunaata chala gaya kamzoriyaan bataa ke use sochta hooñ main aate men paani had se ziyaada chala gaya be-fikr tha tanoj KHabar hi nahin hui vo paas aaya dil ko nikala chala gaya

Related Ghazal

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa

Zubair Ali Tabish

66 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

More from Tanoj Dadhich

kal uski aarti maine utaari magar mat poochna kaise utaari gale tak aa gayi thii baat mere so paani pee liya neeche utaari use bhi maut ne kuchh din pukaara vo jisne laash pankhe se utaari

Tanoj Dadhich

11 likes

samjhti hai ghazal duniya ki dil naadaan hai yaaron ise bhi aadmi ki ab zaraa pahchaan hai yaaron virodhi team men tha to use baahar bithaate the hamaari team men aakar banaa kaptaan hai yaaron tasavvur tajurba tevar tamannaa aur tanhaaii milenge phool sab is men ghazal guldaan hai yaaron KHuda ki baat hai to phir meraa kehna hai bas itnaa kitaabi gyaan se behtar zaraa sa dhyaan hai yaaron padhaai naukri shaa dii phir uske do bacche hamaari zindagi itni kahaan aasaan hai yaaron

Tanoj Dadhich

5 likes

dartaa nahin hooñ main kisi bhi imtehaan se dooñga s abhii javaab magar itminaan se laut aati hai sadaa yuñ mere jism se meri jaise ki laut aayi ho khaali makaan se usne liya gulaab magar kuchh nahin kaha niklaa nahin hai teer abhii bhi kamaan se lankesh ko haraaya tha seeta bachaai thii banta tha ghar ko lautna pushpak vimaan se KHud ka hi aasmaan hai kaafi tanoj ko jalta nahin vo aur kisi ki udaan se

Tanoj Dadhich

5 likes

tadpata hi nahin itnaa agar shaair nahin hota tadapna kya main KHush rehta agar shaair nahin hota kabhi sunta nahin isko zamaana gaur se yaaron ahem kirdaar kisse ka agar shaair nahin hota mujhe sabki mohabbat ne banaya ek autograph main signature hi rah jaata agar shaair nahin hota KHuda ki rahmaton se main meri ghazlon ka maalik hooñ kahii naukar banaa hota agar shaair nahin hota mujhe bhi gher letii phir kisi din mazhabi baatein siyaasat men chala jaata agar shaair nahin hota nava ghaafil charaagh aashoo varun aanand aur taabish tanoj insey nahin milta agar shaair nahin hota

Tanoj Dadhich

19 likes

koii gaali nahin deta koii gussa nahin hota to main mashhoor to hota magar itnaa nahin hota ham us..ko ghar nahin kahte bhale k itnaa badaa hi ho jahaan tulsi nahin hoti jahaan matka nahin hota bula lo sab bade shaair magar ik do naye rakhna shagun poora nahin hota agar sikka nahin hota zamaana hai naya ab vo muhabbat kar nahin saktaa vo jisse ek bhi rupya kabhi kharcha nahin hota tanoj is baar to laao nayaapan she'r men apne ki bas ik naam likhne se koii maqta nahin hota

Tanoj Dadhich

12 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tanoj Dadhich.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tanoj Dadhich's ghazal.