ghazalKuch Alfaaz

agar yaqin nahin aata to azmae mujhe vo aaina hai to phir aaina dikhae mujhe ajab charaghh huun din raat jalta rahta huun main thak gaya huun hava se kaho bujhae mujhe main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki bikhar gaya huun to ab ret se uthae mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar huun koi to aae zara der ko rulae mujhe main chahta huun ki tum hi mujhe ijazat do tumhari tarah se koi gale lagae mujhe agar yaqin nahin aata to aazmae mujhe wo aaina hai to phir aaina dikhae mujhe ajab charagh hun din raat jalta rahta hun main thak gaya hun hawa se kaho bujhae mujhe main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hun to ab ret se uthae mujhe bahut dinon se main in pattharon mein patthar hun koi to aae zara der ko rulae mujhe main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do tumhaari tarah se koi gale lagae mujhe

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

More from Bashir Badr

mire dil ki raakh kured mat ise muskuraa ke hawa na de ye charaaghh phir bhi charaaghh hai kahii teraa haath jala na de naye daur ke naye KHvaab hain naye mausamon ke gulaab hain ye mohabbaton ke charaaghh hain inhen nafratoin ki hawa na de zaraa dekh chaand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamaam shab tira naam likkha hai ret par koi lehar aa ke mita na de main udaasiyaan na saja sakoon kabhi jism-o-jaan ke mazaar parna diye jalen mirii aankh men mujhe itni sakht saza na de mire saath chalne ke shauq men badi dhoop sar pe uthaaega tira naak naqsha hai mom ka kahii gham ki aag ghula na de main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karoon mirii saltanat mira fan rahe mujhe taaj-o-takht KHuda na de

Bashir Badr

7 likes

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha sehra men koi laala-e-sehra khila na tha do jheelein us ki aankhoñ men lahara ke so gaeeinus vaqt meri umr ka dariyaa chadha na tha jaagi na theen nason men tamannaa ki naaginenus gandumee sharaab ko jab tak chakha na tha dhoonda karo jahaan-e-tahayyur men umr bhar vo chalti phirti chaanv hai main ne kaha na tha ik be-vafa ke saamne aañsu behaate ham itnaa hamaari aankh ka paani mara na tha vo kaale hont jaam samajh kar chadha ga.e vo aab jis se main ne wuzoo tak kiya na tha sab log apne apne KHudaaon ko laaye the ek ham aise the ki hamaara KHuda na tha vo kaali aañkhen shahar men mashhoor theen bahut tab un pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha main saahib-e-ghazal tha haseenon ki bazm men sar par ghanere baal the maatha khula na tha

Bashir Badr

3 likes

falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai

Bashir Badr

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.