ghazalKuch Alfaaz

agarche main ik chatan sa aadmi raha huun magar tire baad hausla hai ki ji raha huun vo reza reza mire badan men utar raha hai main qatra qatra usi ki ankhon ko pi raha huun tiri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera mujhe to lagta hai main tira dost bhi raha huun khuli hain ankhen magar badan hai tamam patthar koi batae main mar chuka huun ki ji raha huun kahan milegi misal meri sitamgari ki ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha huun na puchh mujh se ki shahr valon ka haal kya tha ki main to khud apne ghar men bhi do ghadi raha huun mila to biite dinon ka sach us ki aankh men tha vo ashna jis se muddaton ajnabi raha huun bhula de mujh ko ki bevafai baja hai lekin ganva na mujh ko ki main tiri zindagi raha huun vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha huun agarche main ek chatan sa aadmi raha hun magar tere baad hausla hai ki ji raha hun wo reza reza mere badan mein utar raha hai main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun kahan milegi misal meri sitamgari ki ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha hun na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hun mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Mohsin Naqvi

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon

Mohsin Naqvi

2 likes

azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke

Mohsin Naqvi

1 likes

ab ye sochun to bhanwar zehan men pad jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain kyun tire dard ko den tohmat-e-veeraani-e-dil zalzalon men to bhare shahar ujad jaate hain mausam-e-zard men ik dil ko bachaaun kaise aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain ab koi kya mire qadmon ke nishaan dhundega tez aandhi men to khe men bhi ukhad jaate hain shagl-e-arbaab-e-hunar poochte kya ho ki ye log pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath chaand chehron ke khud-o-khaal bigad jaate hain shiddat-e-gham men bhi zinda hooñ to hairat kaisi kuchh diye tund hawaon se bhi lad jaate hain vo bhi kya log hain mohsin jo vafaa ki khaatir khud-taraashida usoolon pe bhi ad jaate hain

Mohsin Naqvi

2 likes

hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua

Mohsin Naqvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.