ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila khali pade hain jaam! zara aankh to mila kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila kya vo na aaj aenge taron ke saath saath tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila ye jaam ye subu ye tasavvur ki chandni saaqi kahan mudam! zara aankh to mila saaqi mujhe bhi chahiye ik jam-e-arzu kitne lagenge daam! zara aankh to mila pamal ho na jaae sitaron ki aabru ai mere khush-khiram! zara aankh to mila hain rah-e-kahkashan men azal se khade hue 'saghhar' tire ghhulam! zara aankh to mila ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila khali pade hain jam! zara aankh to mila kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni saqi kahan mudam! zara aankh to mila saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu kitne lagenge dam! zara aankh to mila pamal ho na jae sitaron ki aabru ai mere khush-khiram! zara aankh to mila hain rah-e-kahkashan mein azal se khade hue 'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila
Related Ghazal
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
Umair Najmi
59 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya itni daqeeq shay koi kaise samajh sake yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya chalke hue the jaam pareshaan thii zulf-e-yaar kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya main aadmi hooñ koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya kaañte to KHair kaañte hain is ka gilaa hi kya phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
Saghar Siddiqui
3 likes
ai dil-e-be-qaraar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aayenge roothne waale deeda-e-ashk-baar chup ho ja ja chuka kaarvaan-lala-o-gul ud raha hai ghubaar chup ho ja chhoot jaati hai phool se khushboo rooth jaate hain yaar chup ho ja ham faqeeron ka is zamaane men kaun hai gham-gusaar chup ho ja haadson ki na aankh khul jaa.e hasrat-e-sogvaar chup ho ja geet ki zarb se bhi ai saaghar toot jaate hain taar chup ho ja
Saghar Siddiqui
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saghar Siddiqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.







