aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi lekin ham ne maula jaisi zaat nahin dekhi us ki shaan-e-ajeeb ka manzar dekhne vaala hai ik aisa khurshid ki jis ne raat nahin dekhi bistar par maujood rahe aur sair-e-haft-aflaak aisi kisi par rahmat ki barsaat nahin dekhi us ki aal vahii jo us ke naqsh-e-qadam par sirf zaat ki ham ne aal-e-saadat nahin dekhi ek shajar hai jis ki shaakhen phailti jaati hain kisi shajar men ham ne aisi baat nahin dekhi ik dariya-e-rehmat hai jo bahta jaata hai ye shaan-e-barkaat kisi ke saath nahin dekhi shahon ki taarikh bhi ham ne dekhi hai lekinus ke dar ke gadaaon waali baat nahin dekhi us ke naam pe maarein khaana ab ezaaz hamaara aur kisi ki ye izzat auqaat nahin dekhi sadiyon ki is dhoop chaanv men koi ha men batlaaye poori hui kaun si us ki baat nahin dekhi ahl-e-zameen ne kaun sa ham par zulm nahin dhaaya kaun si nusrat ham ne us ke haath nahin dekhi
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Obaidullah Aleem
aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e
Obaidullah Aleem
1 likes
koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun
Obaidullah Aleem
1 likes
chehra hua main aur mirii tasveer hue sab main lafz hua mujh men hi zanjeer hue sab buniyaad bhi mirii dar-o-deewar bhi mere ta'aamir hua main ki ye ta'aamir hue sab vaise hi likhoge to mira naam bhi hogaa jo lafz likhe vo mirii jaageer hue sab marte hain magar maut se pahle nahin marte ye vaqiaa' aisa hai ki dil-geer hue sab vo ahl-e-qalam saaya-e-rehmat ki tarah the ham itne ghate apni hi ta'zeer hue sab us lafz ki maanind jo khulta hi chala jaa.e ye zaat-o-zamaan mujh se hi tahreer hue sab itnaa sukhan-e-meer nahin sahal KHuda khairnaqqaad bhi ab mo'taqid-e-'meer hue sab
Obaidullah Aleem
1 likes
hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte
Obaidullah Aleem
1 likes
sahib-e-mehr-o-wafa arz-o-sama kyun chup hai ham pe to vaqt ke pahre hain KHuda kyun chup hai be-sabab gham men sulagna mirii aadat hi sahi saaz KHaamosh hai kyun shola-nava kyun chup hai phool to sahm ga.e dast-e-karam se dam-e-subh gungunaati hui aawaara saba kyun chup hai khatm hogaa na kabhi silsila-e-ahl-e-wafa soch ai daavar-e-maqtal ye fazaa kyun chup hai mujh pe taari hai rah-e-ishq ki aasooda thakan tujh pe kya guzri mire chaand bataa kyun chup hai jaanne waale to sab jaan ga.e honge aleem ek muddat se tira zehn-e-rasa kyun chup hai
Obaidullah Aleem
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Obaidullah Aleem.
Similar Moods
More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.







