ghazalKuch Alfaaz

ajab kashmakash hai ajab hai kashaaksh ye kya beech men hai hamaare tumhaare zaroorat zaroorat zaroorat zaroorat zaroorat ki khaatir maraasim hain saare hain chaaron taraf hi bahut log lekin haqeeqat men koi bhi apna nahin hai dikhaava dikhaava sabhi kuchh dikhaava dikhaave men jeete hain saare ke saare bulan dii pe jin ko bhi dekha ye paaya sabhi aasraa dhoondte phir rahe hain kise sarparasti ke qaabil samjhiye ji.e ja rahe hain KHud apne sahaare sabhi apni apni kahe ja rahe hain ha men ham se cheene li.e ja rahe hain ha men apni khaatir bhi rahne do thoda nahin koi apna siva ab hamaare ha men apni zad men hi rahna padega khu dii ko khu dii men dubona padegana aape se baahar tu aanaa samundar samundar ko samjha rahe hain kinaare faqat dooriyon men hi saari kashish hai ki nazdeekiyon se bharam tootte hain falak pe chamakna hai qismat hamaari zameen se ye kahte hain toote sitaare ye jhoote se rishte ye farzi se naate kahaan tak nibhaayein kahaan tak nibhaayein bahut ho chuka bas bahut ho chuka ab koi to badhe ye makhote utaare

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Deepti Mishra

be-had bechaini hai lekin maqsad zaahir kuchh bhi nahin paana khona hansna rona kya hai aaKHir kuchh bhi nahin apni apni qismat sab ki apna apna hissa hai jism ki khaatir laakhon saamaan rooh ki khaatir kuchh bhi nahin us ki baazi us ke mohre us ki chaalein us ki jeetus ke aage saare qadir maahir shaatir kuchh bhi nahin us ka hona ya na hona KHud men ujaagar hota hai gar vo hai to bheetar hi hai warna ba-zaahir kuchh bhi nahin duniya se jo paaya us ne duniya hi ko saunp diya ghazlein naz men duniya ki hain kya hai shaair kuchh bhi nahin

Deepti Mishra

1 likes

sab kuchh jhooth hai lekin phir bhi bilkul saccha lagta hai jaan-boojh kar dhoka khaana kitna achha lagta hai iint aur patthar miTTi gaare ke mazboot makaanon men pakki deewaron ke peeche har ghar kaccha lagta hai aap banata hai pahle phir apne aap mitaata hai duniya ka khaaliq ham ko ik zid dii bachcha lagta hai is ne saari qasmen todhen saare wa'de jhoote the phir bhi ham ko us ka hona ab bhi achha lagta hai use yaqeen hai be-imaani bin vo baazi jeetega achha insaan hai par abhii khilaa dii kaccha lagta hai

Deepti Mishra

3 likes

vo nahin meraa magar us se mohabbat hai to hai ye agar rasmon rivaajon se baghaavat hai to hai sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya ab zamaane kii nazar men ye himaqat hai to hai kab kaha main ne ki vo mil jaa.e mujh ko main use gair na ho jaa.e vo bas itni hasrat hai to hai jal gaya parwaana gar to kya KHataa hai shama' kii raat bhar jalnaa jalana us kii qismat hai to hai dost ban kar dushmanon sa vo sataata hai mujhe phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai door the aur door hain har dam zameen-o-aasman dooriyon ke baad bhi dono men qurbat hai to hai

Deepti Mishra

29 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Deepti Mishra.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Deepti Mishra's ghazal.