ghazalKuch Alfaaz

ajab pur-lutf manzar dekhta rahta huun barish men badan jalta hai aur main bhigta rahta huun barish men sadaen duub jaati hain hava ke shor men aur main gali-kuchon men tanha chikhta rahta huun barish men dariche men dar aate hain bahut se mehrban chehre main un par shokh jumle phenkta rahta huun barish men diye jalte hain, bujhte hain, mire atraf men aur main bas ik saae ke pichhe bhagta rahta huun barish men pas-e-qaus-e-quzah ik surat-e-mahtab ki jhilmil main is jhilmil ko pahron dekhta rahta huun barish men na sona mere bas men hai, na shab bhar jagna 'khalid' main ankhen kholta aur michta rahta huun barish men ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein badan jalta hai aur main bhigta rahta hun barish mein sadaen dub jati hain hawa ke shor mein aur main gali-kuchon mein tanha chikhta rahta hun barish mein dariche mein dar aate hain bahut se mehrban chehre main un par shokh jumle phenkta rahta hun barish mein diye jalte hain, bujhte hain, mere atraf mein aur main bas ek sae ke pichhe bhagta rahta hun barish mein pas-e-qaus-e-quzah ek surat-e-mahtab ki jhilmil main is jhilmil ko pahron dekhta rahta hun barish mein na sona mere bas mein hai, na shab bhar jagna 'khalid' main aankhen kholta aur michta rahta hun barish mein

Related Ghazal

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom haath utha li.e sabne aur dua nahin maaloom mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain kab kahaan pe loot jaa.e qaafila nahin maaloom sarv to gaii rut men qaamaten ganwa baithe qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom manzaron kii tabdeeli bas nazar men rahtii hai ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom ham faraaz sheron se dil ke zaKHm bharte hain kya karen maseeha ko jab davaa nahin maaloom

Ahmad Faraz

46 likes

tumhaara rang duniya ne chhua tha tab kahaan the tum hamaara canvas khaali pada tha tab kahaan the tum mere lashkar men shirkat ki ijaazat maangne waalo main parcham thaam kar tanhaa khada tha tab kahaan the tum tumhaari dastkon par rahm aata hai mujhe lekin ye darwaaza kaii din se khula tha tab kahaan the tum falon par haq jataane aa.e ho to ye bhi batla do main jab paudhon ko paani de raha tha tab kahaan the tum ye bas ik rasmiya taftish hai aaraam se baitho vafaa ka KHoon jis shab ko hua tha tab kahaan the tum muaafi chahta hoon ab to bas khabron se matlab hai main jab roomani filmen dekhta tha tab kahaan the tum

Zubair Ali Tabish

34 likes

vaise main ne duniya men kya dekha hai tum kahte ho to phir achha dekha hai main us ko apni vehshat tohfe men doon haath uthaaye jis ne sehra dekha hai bin dekhe us ki tasveer banaa loonga aaj to main ne us ko itnaa dekha hai ek nazar men manzar kab khulte hain dost tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai ishq men banda mar bhi saka hai main ne dil ki dastaavez men likha dekha hai main to aañkhen dekh ke hi batla dooñga tum men se kis kis ne dariyaa dekha hai aage seedhe haath pe ek taraai hai main ne pahle bhi ye rastaa dekha hai tum ko to is baagh ka naam pata hogaa tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai

Tehzeeb Hafi

80 likes

kahii na aisa ho apna vaqaar kha jaa.e khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaa.e hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hogaa bhala jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaa.e palat ke sang tiri aur fenk saka hooñ ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaa.e usii ka daakhila is dasht men karo ab se jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaa.e bahut qaraar hai thodii si be-qaraari de kahii na aisa ho mujh ko qaraar kha jaa.e ajab safeena hai ye vaqt ka safeena bhi jo apni god men baitha sawaar kha jaa.e

Varun Anand

21 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Khalid Moin.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Khalid Moin's ghazal.