ghazalKuch Alfaaz

aks-e-khushboo hooñ bikharna se na roke koi aur bikhar jaaun to mujh ko na samete koi kaanp uthatii hooñ main ye soch ke tanhaaii men mire chehre pe tira naam na padh le koi jis tarah KHvaab mire ho ga.e reza rezaus tarah se na kabhi toot ke bikhre koi main to us din se hiraasaan hooñ ki jab hukm mile khushk phoolon ko kitaabon men na rakhe koi ab to is raah se vo shaKHs guzarta bhi nahin ab kis ummeed pe darwaaze se jhaanke koi koi aahat koi awaaz koi chaap nahin dil ki galiyaan badi sunsaan hain aa.e koi

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

More from Parveen Shakir

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ

Parveen Shakir

2 likes

ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se

Parveen Shakir

0 likes

bichhda hai jo ik baar to milte nahin dekha is zakham ko ham ne kabhi silte nahin dekha ik baar jise chaat gaii dhoop ki KHvaahish phir shaakh pe us phool ko khilte nahin dekha yak-lakht giraa hai to jaden tak nikal aayein jis ped ko aandhi men bhi hilte nahin dekha kaanton men ghire phool ko choom aayegi lekin titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha kis tarah mirii rooh hari kar gaya aaKHir vo zahar jise jism men khilte nahin dekha

Parveen Shakir

4 likes

dil ka kya hai vo to chahega musalsal milnaa vo sitamgar bhi magar soche kisi pal milnaa waan nahin vaqt to ham bhi hain adeem-ul-fursatus se kya mi li.e jo har roz kahe kal milnaa ishq ki rah ke musaafir ka muqaddar maaloom shahar ki soch men ho aur use jungle milnaa us ka milnaa hai ajab tarah ka milnaa jaise dasht-e-ummeed men andeshe ka baadal milnaa daaman-e-shab ko agar chaak bhi kar leen to kahaan noor men dooba hua subh ka aanchal milnaa

Parveen Shakir

1 likes

taraash kar mere baazu udaan chhod gaya hawa ke paas barhana kamaan chhod gaya rafaqaton ka meri us ko dhyaan kitna tha zameen le li magar aasmaan chhod gaya ajeeb shaKHs tha baarish ka rang dekh ke bhi khule dariche pe ik phool-daana chhod gaya jo baadlon se bhi mujh ko chhu paa.e rakhta tha badhi hai dhoop to be-saayebaan chhod gaya nikal gaya kahii an-dekhe paaniyon ki taraf zameen ke naam khula baadbaan chhod gaya uqaab ko thii garz faakhta pakadne se jo gir gaii to yoonhi neem-jaan chhod gaya na jaane kaun sa aaseb dil men basta hai ki jo bhi thehra vo aaKHir makaan chhod gaya aqab men gahra samundar hai saamne jungle kis intiha pe meraa mehrbaan chhod gaya

Parveen Shakir

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.