ghazalKuch Alfaaz

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ

Related Ghazal

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

is se pahle ki tujhe aur sahaara na mile main tire saath hooñ jab tak mire jaisa na mile kam se kam badle men jannat use de dii jaaye jis mohabbat ke girftaar ko sehraa na mile log kahte hai ke ham log bure aadmi hai log bhi aise jinhone ha men dekha na mile bas yahii kah ke use maine KHuda ko saunpa ittefaakan kahii mil jaaye to rota na mile baddua hai ke vahaañ aaye jahaan baithe the aur afkaar vahaañ aapko baitha na mile

Afkar Alvi

38 likes

tu samajhta hai teraa hijr gawara karke baith jaayenge mohabbat se kinaara karke khudkushi karne nahin dii teri aankhoñ ne mujhe laut aaya hooñ main dariyaa ka nazaara karke jee to karta hai use paanv tale raundane ko chhod deta hooñ muqaddar ka sitaara karke karna ho tark-e-t'alluq to kuchh aise karna hamko takleef na ho zikr tumhaara karke isliye us..ko dilaata hooñ main ghussa taabish taaki dekhooñ main use aur bhi pyaara karke

Abbas Tabish

31 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai

Ali Zaryoun

48 likes

More from Parveen Shakir

ashk aankh men phir atak raha hai kankar sa koi khatk raha hai main us ke khayal se gurezaan vo meri sadaa jhatak raha hai tahreer usii ki hai magar dil khat padhte hue atak raha hai hain phone pe kis ke saath baatein aur zehan kahaan bhatk raha hai sadiyon se safar men hai samundar saahil pe thakan tapak raha hai ik chaand saleeb-e-shaakh-e-gul par baali ki tarah latk raha hai

Parveen Shakir

3 likes

baja ki aankh men neendon ke silsile bhi nahin shikast-e-khwaab ke ab mujh men hausale bhi nahin nahin nahin ye khabar dushmanon ne dii hogii vo aa.e aa ke chale bhi ga.e mile bhi nahin ye kaun log andheron ki baat karte hain abhii to chaand tiri yaad ke dhale bhi nahin abhii se mire rafoogar ke haath thakne lage abhii to chaak mire zakham ke sile bhi nahin KHafaa agarche hamesha hue magar ab ke vo barhmi hai ki ham se unhen gile bhi nahin

Parveen Shakir

7 likes

gawaahi kaise tootti mua'amla KHuda ka tha mira aur us ka raabta to haath aur dua ka tha gulaab qiimat-e-shagufta shaam tak chuka sake ada vo dhoopa ko hua jo qarz bhi saba ka tha bikhar gaya hai pahool to humeen se paooch-gach hui hisaab baagbaan se hai kiya-dhara hawa ka tha lahu-chasheeda haath us ne choom kar dikha diya jazaa vahaañ mili jahaan ki marhala saza ka tha jo baarishon se qabl apana rizq ghar men bhar chuka vo shehr-e-mor se na tha pa doorbeen bala ka tha

Parveen Shakir

2 likes

baadbaan khulne se pahle ka ishaara dekhna main samundar dekhti hooñ tum kinaara dekhna yuñ bichadna bhi bahut aasaan na tha us se magar jaate jaate us ka vo mud kar dobara dekhna kis shabaahat ko li.e aaya hai darwaaze pe chaand ai shab-e-hijraan zaraa apna sitaara dekhna kya qayamat hai ki jin ke naam par paspa hue un hi logon ko muqaabil men saf-aara dekhna jab banaam-e-dil gawaahi sar ki maangi jaayegi KHoon men dooba hua parcham hamaara dekhna jeetne men bhi jahaan jee ka ziyaan pahle se hai aisi baazi haarne men kya khasaara dekhna aaine ki aankh hi kuchh kam na thii mere li.e jaane ab kya kya dikhaayega tumhaara dekhna ek musht-e-khaak aur vo bhi hawa ki zad men hai zindagi ki bebaasi ka isti'aara dekhna

Parveen Shakir

1 likes

bichhda hai jo ik baar to milte nahin dekha is zakham ko ham ne kabhi silte nahin dekha ik baar jise chaat gaii dhoop ki KHvaahish phir shaakh pe us phool ko khilte nahin dekha yak-lakht giraa hai to jaden tak nikal aayein jis ped ko aandhi men bhi hilte nahin dekha kaanton men ghire phool ko choom aayegi lekin titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha kis tarah mirii rooh hari kar gaya aaKHir vo zahar jise jism men khilte nahin dekha

Parveen Shakir

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.