anjam kahani ka ye hai ta-'umr hamen nashad kiya is bahs se ab kya hasil hai kis kis ne hamen barbad kiya har aankh ki binai the kabhi ham kar-e-masihai the kabhi us basti par phir bojh bane jis basti ko abad kiya ham khvab kabhi the gulshan ka ummid the har ik mausam ki phir vaqt ne ham ko yuun barta har rishte se azad kiya ham raste banaya karte the chalna bhi sikhaya karte the ye 'ishq jo tum ab karte ho ham jaison ne ijad kiya ham log purana qissa hain ham log purani rasmen hain vo said hain jis ne apni khushi kuchh yadon ko sayyad kiya naseh na bana 'abrak' koi kab koi chara-saz mila tab zakhmon ko aram aaya jab se hai khuda ko yaad kiya anjam kahani ka ye hai ta-'umr hamein nashad kiya is bahs se ab kya hasil hai kis kis ne hamein barbaad kiya har aankh ki binai the kabhi hum kar-e-masihai the kabhi us basti par phir bojh bane jis basti ko aabaad kiya hum khwab kabhi the gulshan ka ummid the har ek mausam ki phir waqt ne hum ko yun barta har rishte se aazad kiya hum raste banaya karte the chalna bhi sikhaya karte the ye 'ishq jo tum ab karte ho hum jaison ne ijad kiya hum log purana qissa hain hum log purani rasmen hain wo said hain jis ne apni khushi kuchh yaadon ko sayyaad kiya naseh na bana 'abrak' koi kab koi chaara-saz mila tab zakhmon ko aaram aaya jab se hai khuda ko yaad kiya
Related Ghazal
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







