ghazalKuch Alfaaz

apna ghham le ke kahin aur na jaaya jaae ghar men bikhri hui chizon ko sajaya jaae jin charaghhon ko havaon ka koi khauf nahin un charaghhon ko havaon se bachaya jaae khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab men aur kuchh din abhi auron ko sataya jaae baaghh men jaane ke adab hua karte hain kisi titli ko na phulon se udaya jaae kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin yuun kiya jaae kabhi khud ko rulaya jaae ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len kisi rote hue bachche ko hansaya jaae apna gham le ke kahin aur na jaya jae ghar mein bikhri hui chizon ko sajaya jae jin charaghon ko hawaon ka koi khauf nahin un charaghon ko hawaon se bachaya jae khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein aur kuchh din abhi auron ko sataya jae bagh mein jaane ke aadab hua karte hain kisi titli ko na phulon se udaya jae kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin yun kiya jae kabhi khud ko rulaya jae ghar se masjid hai bahut dur chalo yun kar len kisi rote hue bachche ko hansaya jae

Related Ghazal

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa

Zubair Ali Tabish

66 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Nida Fazli

kisi se KHush hai kisi se KHafaa KHafaa sa hai vo shahar men abhii shaayad naya naya sa hai na jaane kitne badan vo pahan ke leta hai bahut qareeb hai phir bhi chhupa chhupa sa hai sulagta shahar nadi KHoon kab ki baatein hain kahii kahii se ye qissa suna suna sa hai saroon ke seeng to jungle ki den hote hain vo aadmi to hai lekin dara dara sa hai kuchh aur dhoop to ho os sookh jaane tak vo ped ab ke baras bhi haraa haraa sa hai

Nida Fazli

8 likes

kabhi kabhi yuñ bhi ham ne apne jee ko bahlāya hai jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaaya hai ham se poochho izzat waalon ki izzat ka haal kabhi ham ne bhi ik shahar men rah kar thoda naam kamaaya hai us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun aangan men hanste bacchon ko be-kaaran dhamkaaya hai us bastii se chhut kar yuñ to har chehre ko yaad kiya jis se thodii si an-ban thii vo akshar yaad aaya hai koi mila to haath milaaya kahii ga.e to baatein keen ghar se baahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai

Nida Fazli

1 likes

jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna

Nida Fazli

1 likes

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

har ghadi KHud se uljhana hai muqaddar meraa main hi kashtii hooñ mujhi men hai samundar meraa kis se poochoon ki kahaan gum hooñ kaii barson se har jagah dhoondhta firta hai mujhe ghar meraa ek se ho ga.e mausamon ke chehre saare meri aankhoñ se kahii kho gaya manzar meraa muddatein beet gaiin KHvaab suhaana dekhe jaagta rehta hai har neend men bistar meraa aaina dekh ke niklaa tha main ghar se baahar aaj tak haath men mahfooz hai patthar meraa

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.