ghazalKuch Alfaaz

jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna

Nida Fazli1 Likes

Related Ghazal

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya

Mehshar Afridi

53 likes

to kya ye aakhiri KHvaahish hai achha bhool jaaun jahaan bhi jo bhi hai tere alaava bhool jaaun to kya ye doosra hi ishq asli ishq samjhoon to pehla tajarbe kii den men tha bhool jaaun to kya itnaa hi aasaan hai kisi ko bhool jaana ki bas baaton hi baaton men bhulaata bhool jaaun kabhi kahtaa hooñ us..ko yaad rakhna theek hogaa magar phir sochta hooñ faaeda kya bhool jaaun ye koii qatl thodii hai ki baat aayi gaii ho main aur apna nazar-andaaz hona bhool jaaun hai itni juziyaat is saanhe kii poochiye mat main kya kya yaad rakhoon aur kya kya bhool jaaun koii kab tak kisi kii be-vafaaii yaad rakhe bahut mumkin hai main bhi rafta rafta bhool jaaun to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge javvaad ki vo hai bhi isi laaiq lihaaza bhool jaaun

Jawwad Sheikh

42 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha

Kushal Dauneria

54 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

aani jaani har mohabbat hai chalo yoon hi sahi jab talak hai khoobsurat hai chalo yoon hi sahi ham kahaan ke devta hain be-vafa vo hain to kya ghar men koi ghar ki zeenat hai chalo yoon hi sahi vo nahin to koi to hogaa kahii us ki tarah jism men jab tak hararat hai chalo yoon hi sahi maile ho jaate hain rishte bhi libaason ki tarah dosti har din ki mehnat hai chalo yoon hi sahi bhool thii apni farishta aadmi men dhoondhna aadmi men aadmiyyat hai chalo yoon hi sahi jaisi honi chahiye thii waisi to duniya nahin duniyadari bhi zaroorat hai chalo yoon hi sahi

Nida Fazli

4 likes

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahii aisa to ehtijaaj bhi ho rahegi va'don men kab tak aseer khush-haali har ek baar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaaba to aur kya karte tumhaare shahar men kuchh aur kaam-kaaj bhi ho hukoomaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukoomatein jo badalta hai vo samaaj bhi ho badal rahe hain kaii aadmi darindon men marz puraana hai is ka naya ilaaj bhi ho akelaa gham se nayi shaayri nahin hoti zabaan-e-'meer men ghalib ka imtizaaj bhi ho

Nida Fazli

0 likes

kisi se KHush hai kisi se KHafaa KHafaa sa hai vo shahar men abhii shaayad naya naya sa hai na jaane kitne badan vo pahan ke leta hai bahut qareeb hai phir bhi chhupa chhupa sa hai sulagta shahar nadi KHoon kab ki baatein hain kahii kahii se ye qissa suna suna sa hai saroon ke seeng to jungle ki den hote hain vo aadmi to hai lekin dara dara sa hai kuchh aur dhoop to ho os sookh jaane tak vo ped ab ke baras bhi haraa haraa sa hai

Nida Fazli

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.