ghazalKuch Alfaaz

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli0 Likes

Related Ghazal

baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare

Kumar Vishwas

56 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhe jaanta hooñ ki tum hi gher ke maaroge mujhe main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha tum bhi ik roz isee khel men haaroge mujhe eed ke din ki tarah tumne mujhe zaayaa' kiya main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe

Ali Zaryoun

47 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas

Sandeep Thakur

50 likes

More from Nida Fazli

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

dukh men neer baha dete the sukh men hansne lagte the seedhe-saade log the lekin kitne achchhe lagte the nafrat chadhti aandhi jaisi pyaar ubalte chashmon sa bairi hooñ ya sangi saa thii saare apne lagte the bahte paani dukh-sukh baanten ped bade boodhon jaise bacchon ki aahat sunte hi khet lahakne lagte the nadiya parbat chaand nigaahen maala ek kaii daane chhote chhote se aangan bhi koson phaile lagte the

Nida Fazli

2 likes

kabhi kabhi yuñ bhi ham ne apne jee ko bahlāya hai jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaaya hai ham se poochho izzat waalon ki izzat ka haal kabhi ham ne bhi ik shahar men rah kar thoda naam kamaaya hai us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun aangan men hanste bacchon ko be-kaaran dhamkaaya hai us bastii se chhut kar yuñ to har chehre ko yaad kiya jis se thodii si an-ban thii vo akshar yaad aaya hai koi mila to haath milaaya kahii ga.e to baatein keen ghar se baahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai

Nida Fazli

1 likes

kisi se KHush hai kisi se KHafaa KHafaa sa hai vo shahar men abhii shaayad naya naya sa hai na jaane kitne badan vo pahan ke leta hai bahut qareeb hai phir bhi chhupa chhupa sa hai sulagta shahar nadi KHoon kab ki baatein hain kahii kahii se ye qissa suna suna sa hai saroon ke seeng to jungle ki den hote hain vo aadmi to hai lekin dara dara sa hai kuchh aur dhoop to ho os sookh jaane tak vo ped ab ke baras bhi haraa haraa sa hai

Nida Fazli

8 likes

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.