ghazalKuch Alfaaz

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia88 Likes

Related Ghazal

chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha

Kushal Dauneria

54 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

More from Jaun Elia

koii haalat nahin ye haalat hai ye to aashob-naak soorat hai anjuman men ye meri khaamoshi burdabaari nahin hai vehshat hai tujh se ye gaah-gaah ka shikwa jab talak hai basaa ghaneemat hai khwaahishein dil ka saath chhod gaiin ye aziyyat badi aziyyat hai log masroof jaante hain mujhe yaa mira gham hi meri fursat hai tanj pairaaya-e-tabasum men is takalluf kii kya zaroorat hai ham ne dekha to ham ne ye dekha jo nahin hai vo khoobsurat hai vaar karne ko jaan-nisaar aayen ye to eesaar hai inaayat hai garm-joshi aur is qadar kya baat kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai ab nikal aao apne andar se ghar men samaan kii zaroorat hai aaj ka din bhi aish se guzra sar se pa tak badan salaamat hai

Jaun Elia

14 likes

apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo

Jaun Elia

13 likes

apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo

Jaun Elia

29 likes

ghar se ham ghar talak ga.e honge apne hi aap tak ga.e honge ham jo ab aadmi hain pahle kabhi jaam honge chhalk ga.e honge vo bhi ab ham se thak gaya hogaa ham bhi ab us se thak ga.e honge shab jo ham se hua muaaf karo nahin pee thii bahak ga.e honge kitne hi log hirs-e-shohrat men daar par KHud latk ga.e honge shukr hai is nigaah-e-kam ka miyaan pahle hi ham khatk ga.e honge ham to apni talash men akshar az sama-ta-samak ga.e honge us ka lashkar jahaan-tahaan ya'ni ham bhi bas be-kumak ga.e honge jaun allah aur ye aalam beech men ham atak ga.e honge

Jaun Elia

20 likes

koi dam bhi main kab andar raha hooñ li.e hain saans aur baahar raha hooñ dhuen men saans hain saanson men pal hain main raushan-daan tak bas mar raha hooñ fana har dam mujhe ginti rahi hai main ik dam ka tha aur din bhar raha hooñ zaraa ik saans roka to laga yuñ ki itni der apne ghar raha hooñ b-juz apne muyassar hai mujhe kya so KHud se apni jeben bhar raha hooñ hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hooñ lita de neend ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hooñ

Jaun Elia

19 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Elia.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Elia's ghazal.