ghazalKuch Alfaaz

ghar se ham ghar talak ga.e honge apne hi aap tak ga.e honge ham jo ab aadmi hain pahle kabhi jaam honge chhalk ga.e honge vo bhi ab ham se thak gaya hogaa ham bhi ab us se thak ga.e honge shab jo ham se hua muaaf karo nahin pee thii bahak ga.e honge kitne hi log hirs-e-shohrat men daar par KHud latk ga.e honge shukr hai is nigaah-e-kam ka miyaan pahle hi ham khatk ga.e honge ham to apni talash men akshar az sama-ta-samak ga.e honge us ka lashkar jahaan-tahaan ya'ni ham bhi bas be-kumak ga.e honge jaun allah aur ye aalam beech men ham atak ga.e honge

Jaun Elia20 Likes

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

vaise main ne duniya men kya dekha hai tum kahte ho to phir achha dekha hai main us ko apni vehshat tohfe men doon haath uthaaye jis ne sehra dekha hai bin dekhe us ki tasveer banaa loonga aaj to main ne us ko itnaa dekha hai ek nazar men manzar kab khulte hain dost tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai ishq men banda mar bhi saka hai main ne dil ki dastaavez men likha dekha hai main to aañkhen dekh ke hi batla dooñga tum men se kis kis ne dariyaa dekha hai aage seedhe haath pe ek taraai hai main ne pahle bhi ye rastaa dekha hai tum ko to is baagh ka naam pata hogaa tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai

Tehzeeb Hafi

80 likes

More from Jaun Elia

koi dam bhi main kab andar raha hooñ li.e hain saans aur baahar raha hooñ dhuen men saans hain saanson men pal hain main raushan-daan tak bas mar raha hooñ fana har dam mujhe ginti rahi hai main ik dam ka tha aur din bhar raha hooñ zaraa ik saans roka to laga yuñ ki itni der apne ghar raha hooñ b-juz apne muyassar hai mujhe kya so KHud se apni jeben bhar raha hooñ hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hooñ lita de neend ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hooñ

Jaun Elia

19 likes

apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo

Jaun Elia

13 likes

tujh men pada hua hooñ harkat nahin hai mujh men haalat na poochiyo tu haalat nahin hai mujh men ab to nazar men aa ja baanhon ke ghar men aa ja ai jaan teri koi soorat nahin hai mujh men ai rang rang men aa aaghosh-e-tang men aa baatein hi rang ki hain rangat nahin hai mujh men apne men hi kisi ki ho roo-b-rooi mujh ko hooñ KHud se roo-b-roo hooñ himmat nahin hai mujh men ab to simat ke aa ja aur rooh men samaa ja vaise kisi ki pyaare wusa'at nahin hai mujh men sheeshe ke is taraf se main sab ko tak raha hooñ marne ki bhi kisi ko furqat nahin hai mujh men tum mujh ko apne ram men le jaao saath apne apne se ai ghazaalo vehshat nahin hai mujh men

Jaun Elia

21 likes

koii haalat nahin ye haalat hai ye to aashob-naak soorat hai anjuman men ye meri khaamoshi burdabaari nahin hai vehshat hai tujh se ye gaah-gaah ka shikwa jab talak hai basaa ghaneemat hai khwaahishein dil ka saath chhod gaiin ye aziyyat badi aziyyat hai log masroof jaante hain mujhe yaa mira gham hi meri fursat hai tanj pairaaya-e-tabasum men is takalluf kii kya zaroorat hai ham ne dekha to ham ne ye dekha jo nahin hai vo khoobsurat hai vaar karne ko jaan-nisaar aayen ye to eesaar hai inaayat hai garm-joshi aur is qadar kya baat kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai ab nikal aao apne andar se ghar men samaan kii zaroorat hai aaj ka din bhi aish se guzra sar se pa tak badan salaamat hai

Jaun Elia

14 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Elia.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Elia's ghazal.