apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo
Related Ghazal
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha
Kushal Dauneria
54 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
More from Jaun Elia
koii haalat nahin ye haalat hai ye to aashob-naak soorat hai anjuman men ye meri khaamoshi burdabaari nahin hai vehshat hai tujh se ye gaah-gaah ka shikwa jab talak hai basaa ghaneemat hai khwaahishein dil ka saath chhod gaiin ye aziyyat badi aziyyat hai log masroof jaante hain mujhe yaa mira gham hi meri fursat hai tanj pairaaya-e-tabasum men is takalluf kii kya zaroorat hai ham ne dekha to ham ne ye dekha jo nahin hai vo khoobsurat hai vaar karne ko jaan-nisaar aayen ye to eesaar hai inaayat hai garm-joshi aur is qadar kya baat kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai ab nikal aao apne andar se ghar men samaan kii zaroorat hai aaj ka din bhi aish se guzra sar se pa tak badan salaamat hai
Jaun Elia
14 likes
koi dam bhi main kab andar raha hooñ li.e hain saans aur baahar raha hooñ dhuen men saans hain saanson men pal hain main raushan-daan tak bas mar raha hooñ fana har dam mujhe ginti rahi hai main ik dam ka tha aur din bhar raha hooñ zaraa ik saans roka to laga yuñ ki itni der apne ghar raha hooñ b-juz apne muyassar hai mujhe kya so KHud se apni jeben bhar raha hooñ hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hooñ lita de neend ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hooñ
Jaun Elia
19 likes
ek hi muzda subh laati hai dhoop aangan men phail jaati hai rang-e-mausam hai aur baad-e-saba shahar koochon men KHaak udaati hai farsh par kaaghaz udte firte hain mez par gard jamti jaati hai sochta hooñ ki us ki yaad aaKHir ab kise raat bhar jagati hai main bhi izn-e-nava-gari chaahoon be-dili bhi to lab hilati hai so ga.e ped jaag uthi khushboo zindagi KHvaab kyun dikhaati hai us saraapa vafaa ki furqat men khwaahish-e-ghair kyun sataati hai aap apne se hum-sukhan rahna hum-nasheen saans phool jaati hai kya sitam hai ki ab tiri soorat ghaur karne pe yaad aati hai kaun is ghar ki dekh-bhaal kare roz ik cheez toot jaati hai
Jaun Elia
32 likes
apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo
Jaun Elia
29 likes
badaa ehsaan ham farma rahe hain ki un ke khat unhen lautaa rahe hain nahin tark-e-mohabbat par vo raazi qayamat hai ki ham samjha rahe hain yaqeen ka raasta tay karne waale bahut tezi se waapas aa rahe hain ye mat bhoolo ki ye lamhaat ham ko bichhadne ke li.e milva rahe hain ta'ajjub hai ki ishq-o-aashiqi se abhii kuchh log dhoka kha rahe hain tumhein chaahenge jab chin jaayogi tum abhii ham tum ko arzaan pa rahe hain kisi soorat unhen nafrat ho ham se ham apne aib KHud ginwa rahe hain vo paagal mast hai apni vafaa men mirii aankhoñ men aañsu aa rahe hain daleelon se use qaail kiya tha daleelen de ke ab pachta rahe hain tiri baanhon se hijrat karne waale naye maahol men ghabra rahe hain ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rehm tire aañsu mujhe rulva rahe hain ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko ham apna jaañ kar thukra rahe hain vafaa ki yaadgaarein tak na hongi mirii jaañ bas koi din ja rahe hain
Jaun Elia
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Elia.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Elia's ghazal.







