ghazalKuch Alfaaz

ek hi muzda subh laati hai dhoop aangan men phail jaati hai rang-e-mausam hai aur baad-e-saba shahar koochon men KHaak udaati hai farsh par kaaghaz udte firte hain mez par gard jamti jaati hai sochta hooñ ki us ki yaad aaKHir ab kise raat bhar jagati hai main bhi izn-e-nava-gari chaahoon be-dili bhi to lab hilati hai so ga.e ped jaag uthi khushboo zindagi KHvaab kyun dikhaati hai us saraapa vafaa ki furqat men khwaahish-e-ghair kyun sataati hai aap apne se hum-sukhan rahna hum-nasheen saans phool jaati hai kya sitam hai ki ab tiri soorat ghaur karne pe yaad aati hai kaun is ghar ki dekh-bhaal kare roz ik cheez toot jaati hai

Jaun Elia32 Likes

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

More from Jaun Elia

koi dam bhi main kab andar raha hooñ li.e hain saans aur baahar raha hooñ dhuen men saans hain saanson men pal hain main raushan-daan tak bas mar raha hooñ fana har dam mujhe ginti rahi hai main ik dam ka tha aur din bhar raha hooñ zaraa ik saans roka to laga yuñ ki itni der apne ghar raha hooñ b-juz apne muyassar hai mujhe kya so KHud se apni jeben bhar raha hooñ hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hooñ lita de neend ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hooñ

Jaun Elia

19 likes

koii haalat nahin ye haalat hai ye to aashob-naak soorat hai anjuman men ye meri khaamoshi burdabaari nahin hai vehshat hai tujh se ye gaah-gaah ka shikwa jab talak hai basaa ghaneemat hai khwaahishein dil ka saath chhod gaiin ye aziyyat badi aziyyat hai log masroof jaante hain mujhe yaa mira gham hi meri fursat hai tanj pairaaya-e-tabasum men is takalluf kii kya zaroorat hai ham ne dekha to ham ne ye dekha jo nahin hai vo khoobsurat hai vaar karne ko jaan-nisaar aayen ye to eesaar hai inaayat hai garm-joshi aur is qadar kya baat kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai ab nikal aao apne andar se ghar men samaan kii zaroorat hai aaj ka din bhi aish se guzra sar se pa tak badan salaamat hai

Jaun Elia

14 likes

kis se izhaar-e-muddaa kijeye aap milte nahin hain kya kijeye ho na paaya ye faisla ab tak aap kijeye to kya kiya kijeye aap the jis ke chaara-gar vo jawaan sakht beemaar hai dua kijeye ek hi fan to ham ne seekha hai jis se mi li.e use KHafaa kijeye hai taqaza mirii tabi'at ka har kisi ko charaagh-paa kijeye hai to baare ye aalam-e-asbaab be-sabab cheekhne laga kijeye aaj ham kya gilaa karen us se gila-e-tangi-e-qaba kijeye nutq haiwaan par garaan hai abhii guftugoo kam se kam kiya kijeye hazrat-e-zulf-e-ghaliya-afshaan naam apna saba saba kijeye zindagi ka ajab mo'amla hai ek lamhe men faisla kijeye mujh ko aadat hai rooth jaane ki aap mujh ko manaa liya kijeye milte rahiye isee tapaak ke saath be-vafaaii ki intiha kijeye kohkan ko hai KHud-kushi KHvaahish shah-bano se iltijaa kijeye mujh se kahti theen vo sharaab aañkhen aap vo zahar mat piya kijeye rang har rang men hai daad-talab KHoon thookoon to waah-wa kijeye

Jaun Elia

29 likes

ham jee rahe hain koi bahaana ki.e baghairus ke baghair us ki tamannaa ki.e baghair ambaar us ka parda-e-hurmat banaa miyaan deewaar tak nahin giri parda ki.e baghair yaaraan vo jo hai miraa maseeha-e-jaan-o-dil be-had aziz hai mujhe achha ki.e baghair main bistar-e-khayaal pe leta hooñ us ke paas subh-e-azl se koi taqaza ki.e baghair us ka hai jo bhi kuchh hai miraa aur main magar vo mujh ko chahiye koi sauda ki.e baghair ye zindagi jo hai use maana bhi chahiye vaa'da ha men qubool hai ifa ki.e baghair ai qaatilon ke shahar bas itni hi arz hai main hooñ na qatl koi tamasha ki.e baghair murshid ke jhooth ki to saza be-hisaab hai tum chhodio na shahar ko sehra ki.e baghair un aangaanon men kitna sukoon o suroor tha aaraish-e-nazar tiri parwa ki.e baghair yaaraan khusa ye roz o shab-e-dil ki ab ha men sab kuchh hai khush-gawaar gawara ki.e baghair giryaa-kunaan ki fard men apna nahin hai naam ham giryaa-kun azal ke hain giryaa ki.e baghair aaKHir hain kaun log jo bakshe hi jaayenge taarikh ke haraam se tauba ki.e baghair vo sunni bachcha kaun tha jis ki jafaa ne jaun shiaa banaa diya ha men shiaa ki.e baghair ab tum kabhi na aaoge ya'ni kabhi kabhi ruksat karo mujhe koi vaa'da ki.e baghair

Jaun Elia

36 likes

ik hunar hai jo kar gaya hooñ main sab ke dil se utar gaya hooñ main kaise apni hañsi ko zabt karoon sun raha hooñ ki ghar gaya hooñ main kya bataaun ki mar nahin paata jeete-ji jab se mar gaya hooñ main ab hai bas apna saamna dar-pesh har kisi se guzar gaya hooñ main vahii naaz-o-ada vahii ghamze sar-b-sar aap par gaya hooñ main ajab ilzaam hooñ zamaane ka ki yahaañ sab ke sar gaya hooñ main kabhi KHud tak pahunch nahin paaya jab ki waan umr bhar gaya hooñ main tum se jaanaan mila hooñ jis din se be-tarah KHud se dar gaya hooñ main koo-e-jaanaan men sog barpa hai ki achaanak sudhar gaya hooñ main

Jaun Elia

51 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Elia.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Elia's ghazal.