ghazalKuch Alfaaz

kis se izhaar-e-muddaa kijeye aap milte nahin hain kya kijeye ho na paaya ye faisla ab tak aap kijeye to kya kiya kijeye aap the jis ke chaara-gar vo jawaan sakht beemaar hai dua kijeye ek hi fan to ham ne seekha hai jis se mi li.e use KHafaa kijeye hai taqaza mirii tabi'at ka har kisi ko charaagh-paa kijeye hai to baare ye aalam-e-asbaab be-sabab cheekhne laga kijeye aaj ham kya gilaa karen us se gila-e-tangi-e-qaba kijeye nutq haiwaan par garaan hai abhii guftugoo kam se kam kiya kijeye hazrat-e-zulf-e-ghaliya-afshaan naam apna saba saba kijeye zindagi ka ajab mo'amla hai ek lamhe men faisla kijeye mujh ko aadat hai rooth jaane ki aap mujh ko manaa liya kijeye milte rahiye isee tapaak ke saath be-vafaaii ki intiha kijeye kohkan ko hai KHud-kushi KHvaahish shah-bano se iltijaa kijeye mujh se kahti theen vo sharaab aañkhen aap vo zahar mat piya kijeye rang har rang men hai daad-talab KHoon thookoon to waah-wa kijeye

Jaun Elia29 Likes

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

More from Jaun Elia

koii haalat nahin ye haalat hai ye to aashob-naak soorat hai anjuman men ye meri khaamoshi burdabaari nahin hai vehshat hai tujh se ye gaah-gaah ka shikwa jab talak hai basaa ghaneemat hai khwaahishein dil ka saath chhod gaiin ye aziyyat badi aziyyat hai log masroof jaante hain mujhe yaa mira gham hi meri fursat hai tanj pairaaya-e-tabasum men is takalluf kii kya zaroorat hai ham ne dekha to ham ne ye dekha jo nahin hai vo khoobsurat hai vaar karne ko jaan-nisaar aayen ye to eesaar hai inaayat hai garm-joshi aur is qadar kya baat kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai ab nikal aao apne andar se ghar men samaan kii zaroorat hai aaj ka din bhi aish se guzra sar se pa tak badan salaamat hai

Jaun Elia

14 likes

koi dam bhi main kab andar raha hooñ li.e hain saans aur baahar raha hooñ dhuen men saans hain saanson men pal hain main raushan-daan tak bas mar raha hooñ fana har dam mujhe ginti rahi hai main ik dam ka tha aur din bhar raha hooñ zaraa ik saans roka to laga yuñ ki itni der apne ghar raha hooñ b-juz apne muyassar hai mujhe kya so KHud se apni jeben bhar raha hooñ hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hooñ lita de neend ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hooñ

Jaun Elia

19 likes

apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo

Jaun Elia

29 likes

badaa ehsaan ham farma rahe hain ki un ke khat unhen lautaa rahe hain nahin tark-e-mohabbat par vo raazi qayamat hai ki ham samjha rahe hain yaqeen ka raasta tay karne waale bahut tezi se waapas aa rahe hain ye mat bhoolo ki ye lamhaat ham ko bichhadne ke li.e milva rahe hain ta'ajjub hai ki ishq-o-aashiqi se abhii kuchh log dhoka kha rahe hain tumhein chaahenge jab chin jaayogi tum abhii ham tum ko arzaan pa rahe hain kisi soorat unhen nafrat ho ham se ham apne aib KHud ginwa rahe hain vo paagal mast hai apni vafaa men mirii aankhoñ men aañsu aa rahe hain daleelon se use qaail kiya tha daleelen de ke ab pachta rahe hain tiri baanhon se hijrat karne waale naye maahol men ghabra rahe hain ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rehm tire aañsu mujhe rulva rahe hain ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko ham apna jaañ kar thukra rahe hain vafaa ki yaadgaarein tak na hongi mirii jaañ bas koi din ja rahe hain

Jaun Elia

27 likes

tu bhi chup hai main bhi chup hoon ye kaisi tanhaaii hai tere saath tiri yaad aayi kya tu sach-much aayi hai shaayad vo din pehla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angadaai sharmaai hai us din pahli baar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsaas jab us ke malboos ki khushboo ghar pahunchaane aayi hai ham ko aur to kuchh nahin soojha albatta us ke dil men soz-e-raqabat paida kar ke us ki neend udaai hai ham dono mil kar bhi dilon ki tanhaaii men bhatkenge paagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banaai hai ishq-e-pechaanki sandal par jaane kis din bel chadhe kyaari men paani thehra hai deewaron par kaai hai husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam ishq ka pesha husn-parasti ishq badaa harjaai hai aaj bahut din baad main apne kamre tak aa niklaa tha joonhi darwaaza khola hai us ki khushboo aayi hao ek to itnaa habs hai phir main saansen roke baitha hoon veeraani ne jhaadoo de ke ghar men dhool udaai hai

Jaun Elia

22 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Elia.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Elia's ghazal.