apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do main ki sadiyon se adhura huun mukammal kar do na tumhen hosh rahe aur na mujhe hosh rahe is qadar tuut ke chaho mujhe pagal kar do tum hatheli ko mire pyaar ki mehndi se rango apni ankhon men mire naam ka kajal kar do is ke saae men mire khvab dahak utthenge mere chehre pe chamakta hua anchal kar do dhuup hi dhuup huun main tuut ke barso mujh par is qadar barso miri ruuh men jal-thal kar do jaise sahraon men har shaam hava chalti hai is tarah mujh men chalo aur mujhe jal-thal kar do tum chhupa lo mira dil ot men apne dil ki aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do masala huun to nigahen na churao mujh se apni chahat se tavajjoh se mujhe hal kar do apne ghham se kaho har vaqt mire saath rahe ek ehsan karo is ko musalsal kar do mujh pe chha jaao kisi aag ki surat janan aur miri zaat ko sukha hua jangal kar do apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do main ki sadiyon se adhura hun mukammal kar do na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe is qadar tut ke chaho mujhe pagal kar do tum hatheli ko mere pyar ki mehndi se rango apni aankhon mein mere nam ka kajal kar do is ke sae mein mere khwab dahak utthenge mere chehre pe chamakta hua aanchal kar do dhup hi dhup hun main tut ke barso mujh par is qadar barso meri ruh mein jal-thal kar do jaise sahraon mein har sham hawa chalti hai is tarah mujh mein chalo aur mujhe jal-thal kar do tum chhupa lo mera dil ot mein apne dil ki aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do masala hun to nigahen na churao mujh se apni chahat se tawajjoh se mujhe hal kar do apne gham se kaho har waqt mere sath rahe ek ehsan karo is ko musalsal kar do mujh pe chha jao kisi aag ki surat jaanan aur meri zat ko sukha hua jangal kar do
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Wasi Shah
hazaaron dukh pade sahna mohabbat mar nahin sakti hai tum se bas yahii kehna mohabbat mar nahin sakti tira har baar mere khat ko padhna aur ro dena mira har baar likh dena mohabbat mar nahin sakti kiya tha ham ne campus ki nadi par ik haseen vaa'da bhale ham ko pade marna mohabbat mar nahin sakti purane ahd ko jab zinda karne ka khayal aa.e mujhe bas itnaa likh dena mohabbat mar nahin sakti vo teraa hijr ki shab phone rakhne se zaraa pahle bahut rote hue kehna mohabbat mar nahin sakti ga.e lamhaat furqat ke kahaan se dhundh kar laaun vo paharon haath par likhna mohabbat mar nahin sakti
Wasi Shah
7 likes
samandar men utarta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tiri aankhoñ ko padhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tumhaara naam likhne ki ijaazat chin gaii jab se koi bhi lafz likhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tiri yaadon ki khushboo khidkiyon men raqs karti hai tire gham men sulagta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain na jaane ho gaya hooñ is qadar hassaas main kab se kisi se baat karta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain main saara din bahut masroof rehta hooñ magar jyuun hi qadam chaukhat pe rakhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain har ik muflis ke maathe par alam ki daastaanen hain koi chehra bhi padhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain bade logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko gareeb aankhoñ se takta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tire kooche se ab meraa ta'alluq waajibi sa hai magar jab bhi guzarta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain hazaaron mausamon ki hukmraani hai mire dil par vasi main jab bhi hansta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain
Wasi Shah
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Wasi Shah.
Similar Moods
More moods that pair well with Wasi Shah's ghazal.







