ghazalKuch Alfaaz

apni tasveer ko aankhoñ se lagata kya hai ik nazar meri taraf bhi tira jaata kya hai meri ruswaai men vo bhi hain barabar ke shareek mire qisse mire yaaron ko sunaata kya hai paas rah kar bhi na pahchaan sakaa tu mujh ko door se dekh ke ab haath hilaata kya hai zehan ke pardo pe manzil ke hayoole na banaa gaur se dekhta ja raah men aata kya hai zakhm-e-dil jurm nahin tod bhi de mohr-e-sukoot jo tujhe jaante hain un se chhupata kya hai safar-e-shauq men kyun kaanpate hain paanv tire aankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai umr bhar apne garebaan se uljhane waale tu mujhe mire hi saa.e se daraata kya hai chaandni dekh ke chehre ko chhupaane waale dhoop men baith ke ab baal sukhaata kya hai mar ga.e pyaas ke maare to utha abr-e-karam bujh gaii bazm to ab shama' jalata kya hai main tira kuchh bhi nahin hooñ magar itnaa to bataa dekh kar mujh ko tire zehan men aata kya hai teraa ehsaas zaraa sa tiri hasti paayaab to samundar kii tarah shor machaata kya hai tujh men kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja chaai kii pyaali men toofaan uthaata kya hai teri awaaz ka jaadu na chalega un par jaagne waalon ko shehzaad jagaata kya hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shahzad Ahmad.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shahzad Ahmad's ghazal.