ghazalKuch Alfaaz

charaaghh KHud hi bujhaaya bujha ke chhod diya vo gair tha use apna banaa ke chhod diya hazaar chehre hain maujood aadmi ghaayab ye kis kharaabe men duniya ne la ke chhod diya main apni jaañ men use jazb kis tarah karta use gale se lagaaya laga ke chhod diya main ja chuka hooñ mire vaaste udaas na ho main vo hooñ tu ne jise muskuraa ke chhod diya kisi ne ye na bataaya ki fasla kya hai har ek ne mujhe rastaa dikha ke chhod diya hamaare dil men hai kya jhaank kar na dekh sake KHud apni zaat se parda utha ke chhod diya vo teraa rog bhi hai aur tira ilaaj bhi hai usii ko dhundh jise tang aa ke chhod diya vo anjuman men mila bhi to us ne baat na ki kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhod diya rakhoon kisi se tavakko to kya rakhoon shehzaad KHuda ne bhi to zameen par giraa ke chhod diya

Related Ghazal

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya

Mehshar Afridi

53 likes

umr guzregi imtihaan men kya daagh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayaan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahii hota hai khaandaan men kya apni mahroomiyaan chhupaate hain ham ghareebon ki aan-baan men kya KHud ko jaana juda zamaane se aa gaya tha mire gumaan men kya shaam hi se dukaan-e-deed hai band nahin nuksaan tak dukaan men kya ai mire subh-o-shaam-e-dil ki shafaq tu nahaati hai ab bhi baan men kya bolte kyun nahin mire haq men aable pad ga.e zabaan men kya KHaamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire gumaan men kya dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut KHud bhi aata hai apne dhyaan men kya vo mile to ye poochna hai mujhe ab bhi hooñ main tiri amaan men kya yuñ jo takta hai aasmaan ko tu koi rehta hai aasmaan men kya hai naseem-e-bahaar gard-aalood KHaak udti hai us makaan men kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya

Jaun Elia

61 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

ye kis tarah ka ta'alluq hai aapka mere saath mujhe hi chhod ke jaane ka mashwara mere saath yahii kahii ha men raston ne baddua dii thii magar main bhool gaya aur kaun tha mere saath vo jhaankta nahin khidki se din nikalta hai tujhe yaqeen nahin aa raha to aa mere saath

Tehzeeb Hafi

92 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shahzad Ahmad.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shahzad Ahmad's ghazal.