ghazalKuch Alfaaz

ashk apna ki tumhara nahin dekha jaata abr ki zad men sitara nahin dekha jaata apni shah-e-rag ka lahu tan men ravan hai jab tak zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jaata mauj-dar-mauj ulajhne ki havas be-maani dubta ho to sahara nahin dekha jaata tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha varna suraj to dobara nahin dekha jaata aag ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai raakh ki tah men sharara nahin dekha jaata zakhm ankhon ke bhi sahte the kabhi dil vaale ab to abru ka ishara nahin dekha jaata kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin' dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jaata ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata abr ki zad mein sitara nahin dekha jata apni shah-e-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jata mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-mani dubta ho to sahaara nahin dekha jata tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha warna suraj to dobara nahin dekha jata aag ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai rakh ki tah mein sharara nahin dekha jata zakhm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale ab to abru ka ishaara nahin dekha jata kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin' dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jata

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

mere dil men ye tere siva kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai ham mohabbat men haare hue log hain aur mohabbat men jeeta hua kaun hai mere pahluu se uth ke gaya kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai tune jaate hue ye bataaya nahin main teraa kaun hooñ tu meraa kaun hai

Tehzeeb Hafi

145 likes

More from Mohsin Naqvi

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

ab ye sochun to bhanwar zehan men pad jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain kyun tire dard ko den tohmat-e-veeraani-e-dil zalzalon men to bhare shahar ujad jaate hain mausam-e-zard men ik dil ko bachaaun kaise aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain ab koi kya mire qadmon ke nishaan dhundega tez aandhi men to khe men bhi ukhad jaate hain shagl-e-arbaab-e-hunar poochte kya ho ki ye log pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath chaand chehron ke khud-o-khaal bigad jaate hain shiddat-e-gham men bhi zinda hooñ to hairat kaisi kuchh diye tund hawaon se bhi lad jaate hain vo bhi kya log hain mohsin jo vafaa ki khaatir khud-taraashida usoolon pe bhi ad jaate hain

Mohsin Naqvi

2 likes

hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua

Mohsin Naqvi

0 likes

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon

Mohsin Naqvi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.