ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Related Ghazal
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
More from Tehzeeb Hafi
ajeeb KHvaab tha us ke badan men kaai thii vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thii vo ik charagh-kada jis men kuchh nahin tha meraa vo jal rahi thii vo qindeel bhi paraai thii na jaane kitne parindon ne is men shirkat ki kal ek ped ki taraqeeb-e-ro-numaai thii hawaon aao mire gaav ki taraf dekho jahaan ye ret hai pahle yahaañ taraai thii kisi sipaah ne khe men laga diye hain vahaañ jahaan ye main ne nishaani tiri dabaai thii gale mila tha kabhi dukh bhare december se mire vujood ke andar bhi dhund chhaai thii
Tehzeeb Hafi
15 likes
aaj jin jheelon ka bas kaaghaz men naksha rah gaya ek muddat tak main un aankhoñ se bahta rah gaya main use na-qaabil-e-bardasht samjha tha magar vo mere dil men raha aur achha KHaasa rah gaya vo jo aadhe the tujhe milkar muqammal ho ga.e jo muqammal tha vo tere gham men aadha rah gaya
Tehzeeb Hafi
61 likes
teraa chehra tere hont aur palken dekhen dil pe aañkhen rakhe teri saansen dekhen mere maalik aap to aisa kar sakte hain saath chale ham aur duniya ki aañkhen dekhen saal hone ko aaya hai vo kab lautega aao khet ki sair ko nikle kunjen dekhen ham tere honthon ko larjish kab bhoolen hain paani men patthar fenken aur lahren dekhen
Tehzeeb Hafi
57 likes
aankh ki khidkiyaan khulii hongi dil men jab choriyaan hui hongi ya kahii aaine gire honge ya kahii ladkiyaan hañsi hongi ya kahii din nikal raha hogaa ya kahii bastiyaan jali hongi ya kahii haath hathkadi men qaid ya kahii choodiyaan padi hongi ya kahii khaamoshi ki taqreebaat ya kahii ghantiyaan bajee hongi laut aayenge shahar se bhaai haath men raakhiyaan bandhi hongi un dinon koi mar gaya hogaa jin dinon shaadiyaan hui hongi
Tehzeeb Hafi
50 likes
chehra dekhen tere hont aur palken dekhen dil pe aankhe rakhen teri saansen dekhen surkh labon se sabz duaaein footi hain peele phoolon tum ko neeli aañkhen dekhen saal hone ko aaya hai vo kab lautega aao khet ki sair ko niklen koojen dekhen thodi der men jungle ham ko aaq karega bargad dekhen ya bargad ki shaakhe dekhen mere maalik aap to sab kuchh kar sakte hain saath chalen ham aur duniya ki aañkhen dekhen ham tere honto ki larzish kab bhule hain paani men patthar fenke aur lahren dekhen
Tehzeeb Hafi
21 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







