ashkon ko arzu-e-rihai hai roiye ankhon ki ab isi men bhalai hai roiye rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya kam-az-kam ehtijaj-e-khudai hai roiye taslim kar liya hai jo khud ko charaghh-e-haq duniya qadam qadam pe sabai hai roiye khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap is dasht men bas abla-pai hai roiye ham hain asir-e-zabt ijazat nahin hamen ro pa rahe hain aap badhai hai roiye ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya kam-az-kam ehtijaj-e-khudai hai roiye taslim kar liya hai jo khud ko charagh-e-haq duniya qadam qadam pe sabai hai roiye khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap is dasht mein bas aabla-pai hai roiye hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein ro pa rahe hain aap badhai hai roiye
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Abbas Qamar
meri parchaaiyaan gum hain meri pahchaan baqi hai safar dam todne ko hai magar samaan baqi hai abhii to khwahishon ke darmiyaañ ghamsaan baqi hai abhii is jism-e-faani men zaraa sii jaan baqi hai ise tareekiyo ne qaid kar rakkha hai barson se mere kamre men bas kehne ko raushandaan baqi hai tumhaara jhooth chehre se ayaan ho jaayega ik din tumhaare dil ke andar tha jo vo shaitaan baqi hai guzaari umr jiski bandagi men vo hai la-haasil ajab sarmaya-kaari hai nafaa'-nuqsaan baqi hai abhii zinda hai boodha baap ghar kii zindagi bankar faqat kamre juda hain beech men daalaan baqi hai ghazal zinda hai urdu ke adab-bardaar zinda hain hamaari tarbiyat men ab bhi hindostaan baqi hai
Abbas Qamar
12 likes
ham aise sar-fire duniya ko kab darkaar hote hain agar hote bhi hain be-intihaa dushwaar hote hain KHamoshii kah rahi hai ab ye do-aabaa ravaan hogaa hawa chup ho to baarish ke shadeed aasaar hote hain shikaayat zindagi se kyun karen ham KHud hi tham jaayen jo kam-raftaar hote hain vo kam-raftaar hote hain badan inko k abhii baahar nikalne hi nahin deta qamar-abbas to ba-qaaida taiyyaar hote hain
Abbas Qamar
9 likes
teri aagosh men sar rakkha sisak kar roye mere sapne meri aankhoñ se chhalk kar roye saari KHushiyon ko sare aam jhatak kar roye ham bhi bachchon kii tarah paanv patak kar roye raasta saaf tha manzil bhi bahut door na thii beech raste men magar paanv atak kar roye jis ghadi qatl hawaon ne charaaghon ka kiya mere hamraah jo jugnoo the phphak kar roye qeemati zid thii ghareebi bhi bhala kya karti maa ke jazbaat dulaaron ko thapak kar roye apne haalaat bayaañ karke jo roee dharti chaand taare kisi kone men dubak kar roye ba-mashakkat bhi mukammal na hui apni ghazal chand nukte mere kaaghaz se sarak kar roye
Abbas Qamar
18 likes
jahaan saare hawa banne ki koshish kar rahe the vahaañ bhi ham diya banne ki koshish kar rahe the ha men zor-e-tasavvur bhi ganwaana pad gaya ham tasavvur men KHuda banne ki koshish kar rahe the zameen par aa gire jab aasmaañ se KHvaab mere zameen ne poocha kya banne ki koshish kar rahe the unhen aankhoñ ne bedar dii se be-ghar kar diya hai ye aañsu qahqaha banne ki koshish kar rahe the ha men dushwaariyon men muskuraane ki talab thii ham ik tasveer sa banne ki koshish kar rahe the
Abbas Qamar
23 likes
tere khayal se foota tha KHvaab kahte hain tujhe hayaat ka lubb-e-lubaab kahte hain chuna hai tune mujhe zindagi ke daaman men mujhe ye log teraa intikhaab kahte hain isi ka naam ravaani hai bar-sar-e-dariya isi ko dasht men pyaase sharaab kahte hain gunaahgaar hai uske so uski mehfil men ham uske husn ko uskaa naqaab kahte hain
Abbas Qamar
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Qamar.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Qamar's ghazal.







