ghazalKuch Alfaaz

azizan sitamgar na aaya mire ghar na aaya mire ghar azizan sitamgar mohabbat tu mat kar dil us bevafa se dil us bevafa se mohabbat tu mat kar laga dil men khanjar tumhari nigah ka tumhari nigah ka laga dil men khanjar hua kyuun mukaddar tu ai aina-ru tu ai aina-ru hua kyuun mukaddar vo iiza mukarrar tujhe dega 'taban' tujhe dega 'taban' vo iiza mukarrar azizan sitamgar na aaya mere ghar na aaya mere ghar azizan sitamgar mohabbat tu mat kar dil us bewafa se dil us bewafa se mohabbat tu mat kar laga dil mein khanjar tumhaari nigah ka tumhaari nigah ka laga dil mein khanjar hua kyun mukaddar tu ai aaina-ru tu ai aaina-ru hua kyun mukaddar wo iza mukarrar tujhe dega 'taban' tujhe dega 'taban' wo iza mukarrar

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Taban Abdul Hai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Taban Abdul Hai's ghazal.