ghazalKuch Alfaaz

bade tahammul se rafta rafta nikalna hai bacha hai jo tujh men mera hissa nikalna hai ye ruuh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai nazar men rakhna kahin koi ghham-shanas gahak mujhe sukhan bechna hai kharcha nikalna hai nikal laaya huun ek pinjre se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai ye tiis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai mujhe ghadi ka kharab purza nikalna hai khayal hai khandan ko ittilaa de duun jo kat gaya us shajar ka shajara nikalna hai main ek kirdar se bada tang huun qalamkar mujhe kahani men daal ghhussa nikalna hai bade tahammul se rafta rafta nikalna hai bacha hai jo tujh mein mera hissa nikalna hai ye ruh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai nazar mein rakhna kahin koi gham-shanas gahak mujhe sukhan bechna hai kharcha nikalna hai nikal laya hun ek pinjre se ek parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai ye tis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai mujhe ghadi ka kharab purza nikalna hai khayal hai khandan ko ittilaa de dun jo kat gaya us shajar ka shajara nikalna hai main ek kirdar se bada tang hun qalamkar mujhe kahani mein dal ghussa nikalna hai

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Umair Najmi

main ne jo raah li dushwaar ziyaada nikli mere andaaze se har baar ziyaada nikli koi rozan na jharoka na koi darwaaza mirii ta'aamir men deewaar ziyaada nikli ye mirii maut ke asbaab men likha hua hai KHoon men ishq ki miqdaar ziyaada nikli kitnii jal dii diya ghar waalon ko phal aur saaya mujh se to ped ki raftaar ziyaada nikli

Umair Najmi

10 likes

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda ya'ni ta'alluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga

Umair Najmi

20 likes

main barsh chhod chuka aakhiri tasveer ke baad mujh se kuchh ban nahin paaya tiri tasveer ke baad mushtarik dost bhi chhoote hain tujhe chhodne par ya'ni deewaar hataani padi tasveer ke baad yaar tasveer men tanhaa hooñ magar log mile kaii tasveer se pahle kaii tasveer ke baad doosra ishq muyassar hai magar karta nahin kaun dekhega puraani nayi tasveer ke baad bhej deta hooñ magar pahle bataa doon tujh ko mujh se milta nahin koi mirii tasveer ke baad khushk deewaar men seelan ka sabab kya hogaa ek addad zang lagii keel thii tasveer ke baad

Umair Najmi

28 likes

tum is kharaabe men chaar chhe din tahal gaii ho so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gaii ho tamaam din is dua men katata hai kuchh dinon se main jaaun kamre men to udaasi nikal gaii ho kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh men KHamosh jungle men jaise bandooq chal gaii ho ye na ho gar main hiloon to girne lage burada dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gaii ho ye chhote chhote kaii hawadis jo ho rahe hain kisi ke sar se badi museebat na tal gaii ho hamaara malba hamaare qadmon men aa giraa hai plate men jaise mom-batti pighal gaii ho

Umair Najmi

10 likes

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda yaanii taalluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga

Umair Najmi

10 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Umair Najmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Umair Najmi's ghazal.