ghazalKuch Alfaaz

banaa gulaab to kaañte chubha gaya ik shaKHs hua charaaghh to ghar hi jala gaya ik shaKHs tamaam rang mire aur saare KHvaab mire fasana the ki fasana banaa gaya ik shaKHs main kis hawa men udoon kis fazaa men lehraaoon dukhon ke jaal har ik soo bichha gaya ik shaKHs palat sakoon hi na aage hi badh sakoon jis par mujhe ye kaun se raaste laga gaya ik shaKHs mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal mirii hi tarah ka mujh men samaa gaya ik shaKHs mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use mile vo zakham ki phir yaad aa gaya ik shaKHs khula ye raaz ki aaina-khaana hai duniya aur us men mujh ko tamasha banaa gaya ik shaKHs

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Obaidullah Aleem

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

vo raat be-panaah thii aur main gareeb tha vo jis ne ye charaaghh jalaya ajeeb tha vo raushni ki aankh uthaai nahin gaii kal mujh se meraa chaand bahut hi qareeb tha dekha mujhe to taba ravaan ho gaii mirii vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne vo yuñ bhi tha tabeeb vo yuñ bhi tabeeb tha har silsila tha us ka KHuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb tha main bhi raha hooñ khalvat-e-jaanan men ek shaam ye KHvaab hai ya Vaaqaii main khush-naseeb tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab men KHud meraa tajurba hai vo be-had najeeb tha dekha hai us ko khilwat o jalvat men baar-ha vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleemus ko dikha na paao vo aisa habeeb tha

Obaidullah Aleem

0 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

chehra hua main aur mirii tasveer hue sab main lafz hua mujh men hi zanjeer hue sab buniyaad bhi mirii dar-o-deewar bhi mere ta'aamir hua main ki ye ta'aamir hue sab vaise hi likhoge to mira naam bhi hogaa jo lafz likhe vo mirii jaageer hue sab marte hain magar maut se pahle nahin marte ye vaqiaa' aisa hai ki dil-geer hue sab vo ahl-e-qalam saaya-e-rehmat ki tarah the ham itne ghate apni hi ta'zeer hue sab us lafz ki maanind jo khulta hi chala jaa.e ye zaat-o-zamaan mujh se hi tahreer hue sab itnaa sukhan-e-meer nahin sahal KHuda khairnaqqaad bhi ab mo'taqid-e-'meer hue sab

Obaidullah Aleem

1 likes

har awaaz zamistaani hai har jazba zindaani hai koocha-e-yaar se daar-o-rasan tak ek si hi veeraani hai kitne koh-e-giraan kaate tab subh-e-tarab ki deed hui aur ye subh-e-tarab bhi yaaro kahte hain begaani hai jitne aag ke dariyaa men sab paar humeen ko karna hain duniya kis ke saath aayi hai duniya to deewani hai lamha lamha KHvaab dikhaaye aur sau sau ta'beer kare lazzat-e-kam-aazaar bahut hai jis ka naam jawaani hai dil kahtaa hai vo kuchh bhi ho us ki yaad jagaae rakh aql ye kahti hai ki tawhahum par jeena nadaani hai tere pyaar se pahle kab tha dil men aisa soz-o-gudaaz tujh se pyaar kiya to ham ne apni qeemat jaani hai aap bhi kaise shahar men aa kar shaair kahlaaye hain aleem dard jahaan kamyab bahut hai nagmon ki arzaani hai

Obaidullah Aleem

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.