ghazalKuch Alfaaz

bas ek baar kisi ne gale lagaya tha phir us ke baa'd na main tha na mera saaya tha gali men log bhi the mere us ke dushman log vo sab pe hansta hua mere dil men aaya tha us ek dasht men sau shahr ho gae abad jahan kisi ne kabhi karvan lutaya tha vo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle ki jin se main ne khud apna suraghh paaya tha mire vajud se gulzar ho ke nikli hai vo aag jis ne tira pairahan jalaya tha mujhi ko tana-e-ghharat-gari na de pyare ye naqsh main ne tire haath se mitaya tha usi ne ruup badal kar jaga diya akhir jo zahr mujh pe kabhi niind ban ke chhaya tha 'zafar' ki khaak men hai kis ki hasrat-e-tamir khayal-o-khvab men kis ne ye ghar banaya tha bas ek bar kisi ne gale lagaya tha phir us ke ba'd na main tha na mera saya tha gali mein log bhi the mere us ke dushman log wo sab pe hansta hua mere dil mein aaya tha us ek dasht mein sau shahr ho gae aabaad jahan kisi ne kabhi karwan lutaya tha wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle ki jin se main ne khud apna suragh paya tha mere wajud se gulzar ho ke nikli hai wo aag jis ne tera pairahan jalaya tha mujhi ko tana-e-ghaarat-gari na de pyare ye naqsh main ne tere hath se mitaya tha usi ne rup badal kar jaga diya aakhir jo zahr mujh pe kabhi nind ban ke chhaya tha 'zafar' ki khak mein hai kis ki hasrat-e-tamir khayal-o-khwab mein kis ne ye ghar banaya tha

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zafar Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zafar Iqbal's ghazal.