bastii bhi samundar bhi biyaabaan bhi mira hai aañkhen bhi mirii khwaab-e-pareshaan bhi mira hai jo doobti jaati hai vo kashtii bhi hai mirii jo tootaa jaata hai vo paimaan bhi mira hai jo haath uthe the vo sabhi haath the mere jo chaak hua hai vo girebaan bhi mira hai jis ki koi awaaz na pahchaan na manzil vo qaafila-e-be-sar-o-saamaan bhi mira hai veeraana-e-maqtal pe hijaab aaya to is baar KHud cheekh pada main ki ye unwaan bhi mira hai waarftagi-e-subh-e-bashaarat ko khabar kya andesha-e-sad-shaam-e-ghareeba'n bhi mira hai main waaris-e-gul hooñ ki nahin hooñ magar ai jaan khamyaaza-e-tauheen-e-bahaara'n bhi mira hai miTTi ki gawaahi se badi dil ki gawaahi yuñ ho to ye zanjeer ye zindaan bhi mira hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
ashq zaayaa' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main waha rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh par kitne ehsaan hai guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ke meraa humsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kata hai kahii vo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab men us..ko choo to leta tha magar rota na tha giriyo zaari ko bhi ek khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main waqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
85 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
More from Iftikhar Arif
ye bastii jaani-pahchaani bahut hai yahaañ va'don ki arzaani bahut hai shagufta lafz likkhe ja rahe hain magar lahjon men veeraani bahut hai subuk-zarfon ke qaabu men nahin lafz magar shauq-e-gul-afshaani bahut hai hai bazaaron men paani sar se ooncha mire ghar men bhi tugh yaanii bahut hai na jaane kab mire sehra men aa.e vo ik dariyaa ki toofaani bahut hai na jaane kab mire aangan men barase vo ik baadal ki nuqsaani bahut hai
Iftikhar Arif
0 likes
kahaan ke naam o nasab ilm kya fazilat kya jahaan-e-rizq men tauqeer-e-ahl-e-haajat kya shikam ki aag li.e phir rahi hai shahr-b-shahr sag-e-zamaana hain ham kya hamaari hijrat kya dimashq-e-maslahat o kuufa-e-nifaq ke beech fughan-e-qaafila-e-be-nawa ki qeemat kya maal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham badal ga.e to badlne pe itni hairat kya qimaar-khaana-e-hasti men ek baazi par tamaam umr laga dii to phir shikaayat kya farogh-e-sanat-e-qad-aavari ka mausam hai subuk hue pe bhi niklaa hai qadd-o-qaamat kya
Iftikhar Arif
0 likes
koi to phool khilaaye dua ke lehje men ajab tarah ki ghutan hai hawa ke lehje men ye vaqt kis ki ra'unat pe KHaak daal gaya ye kaun bol raha tha KHuda ke lehje men na jaane khalk-e-khuda kaun se azaab men hai hawaaein cheekh padeen iltijaa ke lehje men khula fareb-e-mohabbat dikhaai deta hai ajab kamaal hai us be-vafa ke lehje men yahii hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir ham apna haal kaheinge chhupa ke lehje men
Iftikhar Arif
1 likes
thakan to agle safar ke li.e bahaana tha use to yuñ bhi kisi aur samt jaana tha vahii charaaghh bujha jis ki lau qayamat thii usii pe zarb padi jo shajar puraana tha mataa-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari sulook KHvaab ka aankhoñ se tajiraana tha hawa ki kaat shagoofoon ne jazb kar li thii tabhi to lahja-e-khushboo bhi jaarehaana tha vahii firaq ki baatein vahii hikaayat-e-wasl nayi kitaab ka ek ik varq puraana tha qaba-e-zard nigaar-e-khizaan pe sajti thii tabhi to chaal ka andaaz khusrawaana tha
Iftikhar Arif
2 likes
vafaa ki KHair manaata hooñ be-vafaaii men bhi main us ki qaid men hooñ qaid se rihaai men bhi lahu ki aag men jal-bujh ga.e badan to khula rasai men bhi khasaara hai na-rasaai men bhi badalte rahte hain mausam guzarta rehta hai vaqt magar ye dil ki wahin ka wahin judaai men bhi lihaaz-e-hurmat-e-paema'n na paas-e-hum-khwaabi ajab tarah ke tasaadum the aashnaai men bhi main das baras se kisi KHvaab ke azaab men hooñ wahin azaab dar aaya hai is dahaai men bhi tasaadum-e-dil-o-duniya men dil ki haar ke baa'd hijaab aane laga hai ghazal-saraai men bhi main ja raha hooñ ab us ki taraf usii ki taraf jo mere saath tha meri shikasta-paai men bhi
Iftikhar Arif
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Arif.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Arif's ghazal.







