bataa ai abr musawaat kyun nahin karta hamaare gaav men barsaat kyun nahin karta mahaaz-e-ishq se kab kaun bach ke niklaa hai tu bav gaya hai to khairaat kyun nahin karta vo jis ki chaanv men pacchees saal guzre hain vaa ped mujh se koi baat kyun nahin karta main jis ke saath kaii din guzaar aaya hooñ vo mere saath basar raat kyun nahin karta mujhe tu jaan se badh kar aziz ho gaya hai to mere saath koi haath kyun nahin karta
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Tehzeeb Hafi
ham tumhaare gham se baahar aa ga.e hijr se bachne ke mantr aa ga.e maine tumko andar aane ka kaha tum to mere dil ke andar aa ga.e ek hi aurat ko duniya maan kar itnaa ghooma hooñ ki chakkar aa ga.e imtihaan-e-ishq mushkil tha magar nakl kar ke achchhe number aa ga.e tere kuchh 'aashiq to gangaram hain aur jo baaki the nishtar aa ga.e
Tehzeeb Hafi
52 likes
chehra dekhen tere hont aur palken dekhen dil pe aankhe rakhen teri saansen dekhen surkh labon se sabz duaaein footi hain peele phoolon tum ko neeli aañkhen dekhen saal hone ko aaya hai vo kab lautega aao khet ki sair ko niklen koojen dekhen thodi der men jungle ham ko aaq karega bargad dekhen ya bargad ki shaakhe dekhen mere maalik aap to sab kuchh kar sakte hain saath chalen ham aur duniya ki aañkhen dekhen ham tere honto ki larzish kab bhule hain paani men patthar fenke aur lahren dekhen
Tehzeeb Hafi
21 likes
cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main KHvaab karna ho safar karna ho ya rona ho mujh men khoobi hai bezaar nahin hota men ab bhala apne li.e banna sanwarna kaisa KHud se milnaa ho to taiyyaar nahin hota main kaun aayega bhala meri ayaadat ke li.e bas isee khauf se beemaar nahin hota main manzil-e-ishq pe niklaa to kaha raaste ne har kisi ke li.e hamvaar nahin hota main teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe teri awaaz se sarshaar nahin hota main log kahte hain main baarish ki tarah hooñ haafi akshar auqaat lagaataar nahin hota main
Tehzeeb Hafi
35 likes
teraa chehra tere hont aur palken dekhen dil pe aañkhen rakhe teri saansen dekhen mere maalik aap to aisa kar sakte hain saath chale ham aur duniya ki aañkhen dekhen saal hone ko aaya hai vo kab lautega aao khet ki sair ko nikle kunjen dekhen ham tere honthon ko larjish kab bhoolen hain paani men patthar fenken aur lahren dekhen
Tehzeeb Hafi
57 likes
is ek dar se KHvaab dekhta nahin jo dekhta hooñ main vo bhoolta nahin kisi munder par koi diya jila phir is ke baad kya hua pata nahin main aa raha tha raaste men phool the main ja raha hooñ koi rokta nahin teri taraf chale to umr kat gaii ye aur baat raasta kata nahin is azdahe ki aankh poochhti rahi kisi ko khauf aa raha hai ya nahin main in dinon hooñ KHud se itnaa be-KHabar main bujh chuka hooñ aur mujhe pata nahin ye ishq bhi ajab ki ek shaKHs se mujhe laga ki ho gaya hua nahin
Tehzeeb Hafi
36 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







