bichhad kar mil rahe hain sab purane yaar saalon baa'd badal kar bhi nahin badle hain ye makkaar saalon baa'd akela hai nipt koi zamaane se kata sa hai to koi ek se badh kar hua do-chaar saalon baa'd kisi ko mil nahin paaya k abhii izhaar ka mauqa abhii tak hai adhoora hi kisi ka pyaar saalon baa'd kisi men kuchh nahin badla magar haan ye to badla hai mire sab yaar ab lagte hain zimmedaar saalon baa'd
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
More from Divy Kamaldhwaj
dekh raha hai kiska chehra aage badh mil jaayega tujhko rastaa aage badh baithe-baithe keval utna milta hai jitna chhode aage vaala aage badh is ran men jay aur paraajay meri hai tu gaandeev utha kar hamla aage badh maasumon ki bhookh ki qeemat kya hogii do gaali rupya aur taana aage badh bheegi aañkhen toota dil aur chillaana sadiyon ka ye khel puraana aage badh toofan bijli aur bawandar to honge himmat se bas naav chalaana aage badh
Divy Kamaldhwaj
10 likes
dastaan-e-zindagi ke sirf kuchh kirdaar sach jhooth hai zaati makaan aur sab kiraya-daar sach ye zabaan khulti nahin vaise to sabke saamne poochta hai to bataa dooñga tujhe do-chaar sach jhooth kehna chhod dooñga bas mujhe itnaa bataa kaun ab tak kah sakaa har ek ko har baar sach jo KHuda ko chahta hai us..ko jannat sach lage aur kaafir ko to lagta hai yahii sansaar sach
Divy Kamaldhwaj
7 likes
raaz jo bhi tha nazar men aa gaya aapka chehra nazar men aa gaya waqt aaya tha bura so dekh lo aapka lahjaa nazar men aa gaya doobne waali thii kashtii ishq ki aur ik tinka nazar men aa gaya paak tha main aur daaman tha safed KHoon ka dhabba nazar men aa gaya kaam bhi saara kiya aur chup rahe bolne vaala nazar men aa gaya kal pitaaji hañs rahe the aur tabhi pair ka chaala nazar men aa gaya
Divy Kamaldhwaj
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Divy Kamaldhwaj.
Similar Moods
More moods that pair well with Divy Kamaldhwaj's ghazal.







