ghazalKuch Alfaaz

dastaan-e-zindagi ke sirf kuchh kirdaar sach jhooth hai zaati makaan aur sab kiraya-daar sach ye zabaan khulti nahin vaise to sabke saamne poochta hai to bataa dooñga tujhe do-chaar sach jhooth kehna chhod dooñga bas mujhe itnaa bataa kaun ab tak kah sakaa har ek ko har baar sach jo KHuda ko chahta hai us..ko jannat sach lage aur kaafir ko to lagta hai yahii sansaar sach

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna

Anand Raj Singh

54 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Divy Kamaldhwaj.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Divy Kamaldhwaj's ghazal.