chup-chaap kyuuñ phiro ho koii baat to karo hal bhi nikaalte hain mulaqaat to karo khaali hawa men udna fakeeri nahin miyaan dil jod ke dikhaao karaamaat to karo
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha
Kushal Dauneria
54 likes
More from Ali Zaryoun
haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh
Ali Zaryoun
7 likes
charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii
Ali Zaryoun
21 likes
ho jise yaar se tasdeeq nahin kar saka vo kisi she'r ki tazheek nahin kar saka pur-kashish dost mere hijr ki majboori samajh main tujhe door se nazdeek nahin kar saka mujh pe tanqeed se rahte hain ujaale jin men un dukano ko main tareek nahin kar saka kaun se gham se nikalna hai kise rakhna hai mas’ala ye hai main tafreek nahin kar saka ped ko gaaliyaan bakne ke ilaava zaryoon kya karen vo ke jo takhleeq nahin kar saka she'r to khair main tanhaaii men kah looga ali apni haalat to main KHud theek nahin kar saka hijr se gujre bina ishq bataane vaala bahs kar saka hai tehqeeq nahin kar saka
Ali Zaryoun
5 likes
tere aage sar-kashi dikhlaaoonga tu to jo kah de vahii ban jaaunga ai zaboori phool ai neele gulaab mat KHafaa ho main dobara aaunga saath sadiyaan saath raatein saath din ik paheli hai kise samjhaaoonga yaar ho jaa.e sahi tujh se mujhe tere qabze se tujhe chhudvaaoonga tum bahut ma'soom ladki ho tumhein nazm bhejoonga dua pahnaaoonga koi dariyaa hai na jungle aur na baagh main yahaañ bilkul nahin rah paaooñga yaad karvaaoonga tujh ko tere zakham teri saari ne'ematein ginvaaoonga chhodna us ke li.e mushkil na ho mujh se mat kehna main ye kar jaaunga main ali'-zaryoon hooñ kaafi hai ye main zafar-iqbaal kyun ban jaaunga
Ali Zaryoun
16 likes
janaab-e-sheikh ki harza-saraai jaarii hai udhar se zulm idhar se duhaai jaarii hai bichhad gaya hooñ magar yaad karta rehta hooñ kitaab chhod chuka hooñ padhaai jaarii hai tire alaava kahii aur bhi mulawwis hooñ tiri vafaa se mirii be-vafaaii jaarii hai vo kyun kaheinge ki dono men amn ho jaa.e hamaari jang se jin ki kamaai jaarii hai ajeeb khabt-e-masihaai hai ki hairat hai mareez mar bhi chuka hai davaai jaarii hai
Ali Zaryoun
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Zaryoun.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.







