janaab-e-sheikh ki harza-saraai jaarii hai udhar se zulm idhar se duhaai jaarii hai bichhad gaya hooñ magar yaad karta rehta hooñ kitaab chhod chuka hooñ padhaai jaarii hai tire alaava kahii aur bhi mulawwis hooñ tiri vafaa se mirii be-vafaaii jaarii hai vo kyun kaheinge ki dono men amn ho jaa.e hamaari jang se jin ki kamaai jaarii hai ajeeb khabt-e-masihaai hai ki hairat hai mareez mar bhi chuka hai davaai jaarii hai
Related Ghazal
khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai
Ali Zaryoun
48 likes
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
ashkon ko arzoo-e-rihaai hai roiyie aankhoñ ki ab isee men bhalaai hai roiyie rona ilaaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya kam-az-kam ehtijaaj-e-khudaa hai roiyie tasleem kar liya hai jo KHud ko charaagh-e-haq duniya qadam qadam pe sabaai hai roiyie KHush hain to phir musaafir-e-duniya nahin hain aap is dasht men bas aablaa-paai hai roiyie ham hain aseer-e-zabt ijaazat nahin ha men ro pa rahe hain aap badhaai hai roiyie
Abbas Qamar
28 likes
aankhoñ ke saath use mira hansna nahin pasand dariyaa ho ya ho ghaav use gahra nahin pasand taarikh aa chuki hai udhar card chap ga.e ab kab kahegi tujh ko vo ladka nahin pasand tum ko to mujh se guftugoo karna pasand tha ab kyuuñ mirii mazaar pe rukna nahin pasand kapdon se itr tak ya kitaabon se haar tak vo bole to sahi ki use kya nahin pasand ik din pada mila tha mujhe raaston pe aur ik din suna use mira choona nahin pasand
Kushal Dauneria
29 likes
thak jaata hooñ roz ke aane jaane men meraa bistar lagwa do may-KHaane men uske haath men phool hai mat kahiye kahiye uskaa haath hai phool ko phool banaane men main kabse mauqe ki taak men hooñ us..ko jaane man kah doon jaane anjaane men aankhoñ men mat rok mujhe jaana hai udhar ye rastaa khulta hai jis tahkhane men
Charagh Sharma
19 likes
More from Ali Zaryoun
haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh
Ali Zaryoun
7 likes
charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii
Ali Zaryoun
21 likes
sukoot-e-shaam ka hissa tu mat banaa mujh ko main rang hooñ so kisi mauj men mila mujh ko main in dinon tiri aankhoñ ke ikhtiyaar men hooñ jamaal-e-sabz kisi tajarbe men la mujh ko main boodhe jism ki zillat utha nahin saka kisi qadeem tajalli se kar naya mujh ko main apne hone ki takmeel chahta hooñ sakhi so ab badan ki hiraasat se kar rihaa mujh ko mujhe charaaghh ki hairat bhi ho chuki maaloom ab is se aage koi raasta bataa mujh ko us ism-e-khaas ki tarkeeb se banaa hooñ main mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko daroon-e-seena jise dil samajh raha tha ali vo neeli aag hai ye ab pata chala mujh ko
Ali Zaryoun
9 likes
isee li.e to mujhe sunke taish aaya hai tumhaara haal kisi aur ne bataaya hai mujhe bataa meraa bhaai shaheed kaise hua tu uske saath tha tu kaise bach ke aaya hai abhii ye zakham kisi par nahin khula meraa abhii ye she'r kisi ko nahin sunaaya hai
Ali Zaryoun
16 likes
ho jise yaar se tasdeeq nahin kar saka vo kisi she'r ki tazheek nahin kar saka pur-kashish dost mere hijr ki majboori samajh main tujhe door se nazdeek nahin kar saka mujh pe tanqeed se rahte hain ujaale jin men un dukano ko main tareek nahin kar saka kaun se gham se nikalna hai kise rakhna hai mas’ala ye hai main tafreek nahin kar saka ped ko gaaliyaan bakne ke ilaava zaryoon kya karen vo ke jo takhleeq nahin kar saka she'r to khair main tanhaaii men kah looga ali apni haalat to main KHud theek nahin kar saka hijr se gujre bina ishq bataane vaala bahs kar saka hai tehqeeq nahin kar saka
Ali Zaryoun
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Zaryoun.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.







