ghazalKuch Alfaaz

ashkon ko arzoo-e-rihaai hai roiyie aankhoñ ki ab isee men bhalaai hai roiyie rona ilaaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya kam-az-kam ehtijaaj-e-khudaa hai roiyie tasleem kar liya hai jo KHud ko charaagh-e-haq duniya qadam qadam pe sabaai hai roiyie KHush hain to phir musaafir-e-duniya nahin hain aap is dasht men bas aablaa-paai hai roiyie ham hain aseer-e-zabt ijaazat nahin ha men ro pa rahe hain aap badhaai hai roiyie

Abbas Qamar28 Likes

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Abbas Qamar

meri parchaaiyaan gum hain meri pahchaan baqi hai safar dam todne ko hai magar samaan baqi hai abhii to khwahishon ke darmiyaañ ghamsaan baqi hai abhii is jism-e-faani men zaraa sii jaan baqi hai ise tareekiyo ne qaid kar rakkha hai barson se mere kamre men bas kehne ko raushandaan baqi hai tumhaara jhooth chehre se ayaan ho jaayega ik din tumhaare dil ke andar tha jo vo shaitaan baqi hai guzaari umr jiski bandagi men vo hai la-haasil ajab sarmaya-kaari hai nafaa'-nuqsaan baqi hai abhii zinda hai boodha baap ghar kii zindagi bankar faqat kamre juda hain beech men daalaan baqi hai ghazal zinda hai urdu ke adab-bardaar zinda hain hamaari tarbiyat men ab bhi hindostaan baqi hai

Abbas Qamar

12 likes

haalat-e-haal se begaana banaa rakha hai KHud ko maazi ka nihaan-khaana banaa rakha hai khof-e-dozakh ne hi ijaad kiya hai sajda dar ne insaan ko deewaana banaa rakha hai mimbar-e-ishq se taqreer ki KHvaahish hai ha men dil ko is vaaste maulaana banaa rakha hai maatam-e-shauq bapaa karte hain har shaam yahaañ jism ko ham ne azaan-khaana banaa rakha hai waqt-e-rukhsat hai mire chaahne waalon ne bhi ab saans ko vaqt ka paimaana banaa rakha hai jaante hain vo parinda hai nahin thehrega ham ne us dil ko magar daana banaa rakha hai

Abbas Qamar

8 likes

ham aise sar-fire duniya ko kab darkaar hote hain agar hote bhi hain be-intihaa dushwaar hote hain KHamoshii kah rahi hai ab ye do-aabaa ravaan hogaa hawa chup ho to baarish ke shadeed aasaar hote hain shikaayat zindagi se kyun karen ham KHud hi tham jaayen jo kam-raftaar hote hain vo kam-raftaar hote hain badan inko k abhii baahar nikalne hi nahin deta qamar-abbas to ba-qaaida taiyyaar hote hain

Abbas Qamar

9 likes

teri aagosh men sar rakkha sisak kar roye mere sapne meri aankhoñ se chhalk kar roye saari KHushiyon ko sare aam jhatak kar roye ham bhi bachchon kii tarah paanv patak kar roye raasta saaf tha manzil bhi bahut door na thii beech raste men magar paanv atak kar roye jis ghadi qatl hawaon ne charaaghon ka kiya mere hamraah jo jugnoo the phphak kar roye qeemati zid thii ghareebi bhi bhala kya karti maa ke jazbaat dulaaron ko thapak kar roye apne haalaat bayaañ karke jo roee dharti chaand taare kisi kone men dubak kar roye ba-mashakkat bhi mukammal na hui apni ghazal chand nukte mere kaaghaz se sarak kar roye

Abbas Qamar

18 likes

jahaan saare hawa banne ki koshish kar rahe the vahaañ bhi ham diya banne ki koshish kar rahe the ha men zor-e-tasavvur bhi ganwaana pad gaya ham tasavvur men KHuda banne ki koshish kar rahe the zameen par aa gire jab aasmaañ se KHvaab mere zameen ne poocha kya banne ki koshish kar rahe the unhen aankhoñ ne bedar dii se be-ghar kar diya hai ye aañsu qahqaha banne ki koshish kar rahe the ha men dushwaariyon men muskuraane ki talab thii ham ik tasveer sa banne ki koshish kar rahe the

Abbas Qamar

23 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abbas Qamar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abbas Qamar's ghazal.