haalat-e-haal se begaana banaa rakha hai KHud ko maazi ka nihaan-khaana banaa rakha hai khof-e-dozakh ne hi ijaad kiya hai sajda dar ne insaan ko deewaana banaa rakha hai mimbar-e-ishq se taqreer ki KHvaahish hai ha men dil ko is vaaste maulaana banaa rakha hai maatam-e-shauq bapaa karte hain har shaam yahaañ jism ko ham ne azaan-khaana banaa rakha hai waqt-e-rukhsat hai mire chaahne waalon ne bhi ab saans ko vaqt ka paimaana banaa rakha hai jaante hain vo parinda hai nahin thehrega ham ne us dil ko magar daana banaa rakha hai
Related Ghazal
bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
Umair Najmi
55 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo sarkaari elaan hua hai sach bolo ghar ke andar to jhoothon ki ek mandi hai darwaaze par likha hua hai sach bolo guldaste par yakjahti likh rakha hai guldaste ke andar kya hai sach bolo ganga maiya doobne waale apne the naav men kisne chhed kiya hai sach bolo
Rahat Indori
71 likes
More from Abbas Qamar
meri parchaaiyaan gum hain meri pahchaan baqi hai safar dam todne ko hai magar samaan baqi hai abhii to khwahishon ke darmiyaañ ghamsaan baqi hai abhii is jism-e-faani men zaraa sii jaan baqi hai ise tareekiyo ne qaid kar rakkha hai barson se mere kamre men bas kehne ko raushandaan baqi hai tumhaara jhooth chehre se ayaan ho jaayega ik din tumhaare dil ke andar tha jo vo shaitaan baqi hai guzaari umr jiski bandagi men vo hai la-haasil ajab sarmaya-kaari hai nafaa'-nuqsaan baqi hai abhii zinda hai boodha baap ghar kii zindagi bankar faqat kamre juda hain beech men daalaan baqi hai ghazal zinda hai urdu ke adab-bardaar zinda hain hamaari tarbiyat men ab bhi hindostaan baqi hai
Abbas Qamar
12 likes
ham aise sar-fire duniya ko kab darkaar hote hain agar hote bhi hain be-intihaa dushwaar hote hain KHamoshii kah rahi hai ab ye do-aabaa ravaan hogaa hawa chup ho to baarish ke shadeed aasaar hote hain shikaayat zindagi se kyun karen ham KHud hi tham jaayen jo kam-raftaar hote hain vo kam-raftaar hote hain badan inko k abhii baahar nikalne hi nahin deta qamar-abbas to ba-qaaida taiyyaar hote hain
Abbas Qamar
9 likes
jahaan saare hawa banne ki koshish kar rahe the vahaañ bhi ham diya banne ki koshish kar rahe the ha men zor-e-tasavvur bhi ganwaana pad gaya ham tasavvur men KHuda banne ki koshish kar rahe the zameen par aa gire jab aasmaañ se KHvaab mere zameen ne poocha kya banne ki koshish kar rahe the unhen aankhoñ ne bedar dii se be-ghar kar diya hai ye aañsu qahqaha banne ki koshish kar rahe the ha men dushwaariyon men muskuraane ki talab thii ham ik tasveer sa banne ki koshish kar rahe the
Abbas Qamar
23 likes
uski peshaani pe jo bal aa.e do-jahan men uthal-puthal aa.e khwaab ka bojh itnaa bhari tha neend palkon pe ham kuchal aa.e is qadar jazb ho ga.e dono dard khenchoon to dil nikal aa.e rooh ka nangaapan chhipaane ko jism kapde badal badal aa.e jispe har cheez taal rakkhi hai jaane kis roz meraa kal aa.e gulmohar ki talash thii mujh...ko mere hisse magar kanwal aa.e
Abbas Qamar
17 likes
tere khayal se foota tha KHvaab kahte hain tujhe hayaat ka lubb-e-lubaab kahte hain chuna hai tune mujhe zindagi ke daaman men mujhe ye log teraa intikhaab kahte hain isi ka naam ravaani hai bar-sar-e-dariya isi ko dasht men pyaase sharaab kahte hain gunaahgaar hai uske so uski mehfil men ham uske husn ko uskaa naqaab kahte hain
Abbas Qamar
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Qamar.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Qamar's ghazal.







