daayein baazu men gada teer nahin kheench sakaa is li.e khol se shamsheer nahin kheench sakaa shor itnaa tha ki awaaz bhi dabbe men rahi bheed itni thii ki zanjeer nahin kheench sakaa har nazar se nazar-andaaz-shuda manzar hooñ vo madaari hooñ jo rahgeer nahin kheench sakaa main ne mehnat se hatheli pe lakeeren kheenchin vo jinhen kaatib-e-taqdeer nahin kheench sakaa main ne tasveer-kashi kar ke jawaan ki aulaad un ke bachpan ki tasaaveer nahin kheench sakaa mujh pe ik hijr musallat hai hamesha ke li.e aisa jin hai ki koi peer nahin kheench sakaa tum pe kya KHaak asar hogaa mire she'r'on ka tum ko to meer-taqi-'meer' nahin kheench sakaa
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Umair Najmi
main ne jo raah li dushwaar ziyaada nikli mere andaaze se har baar ziyaada nikli koi rozan na jharoka na koi darwaaza mirii ta'aamir men deewaar ziyaada nikli ye mirii maut ke asbaab men likha hua hai KHoon men ishq ki miqdaar ziyaada nikli kitnii jal dii diya ghar waalon ko phal aur saaya mujh se to ped ki raftaar ziyaada nikli
Umair Najmi
10 likes
ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda yaanii taalluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga
Umair Najmi
10 likes
khel dono ka chale teen ka d aanaa na pade seedhiyaan aati rahen saanp ka kh aanaa na pade dekh men'maar parinde bhi rahen ghar bhi bane naqsha aisa ho koi ped girana na pade mere honton pe kisi lams ki KHvaahish hai shadeed aisa kuchh kar mujhe cigarette ko jalana na pade is taalluq se nikalne ka koi raasta de is pahaadi pe bhi baarood lagana na pade nam ki tarseel se aankhoñ ki hararat kam ho sard-khaanon men koi KHvaab pur aanaa na pade rabt ki KHair hai bas teri ana bach jaa.e is tarah ja ki tujhe laut ke aanaa na pade hijr aisa ho ki chehre pe nazar aa jaa.e zakham aisa ho ki dik jaa.e dikh aanaa na pade
Umair Najmi
17 likes
bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
Umair Najmi
55 likes
tum is kharaabe men chaar chhe din tahal gaii ho so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gaii ho tamaam din is dua men katata hai kuchh dinon se main jaaun kamre men to udaasi nikal gaii ho kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh men KHamosh jungle men jaise bandooq chal gaii ho ye na ho gar main hiloon to girne lage burada dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gaii ho ye chhote chhote kaii hawadis jo ho rahe hain kisi ke sar se badi museebat na tal gaii ho hamaara malba hamaare qadmon men aa giraa hai plate men jaise mom-batti pighal gaii ho
Umair Najmi
10 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Umair Najmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Umair Najmi's ghazal.







