rizwan pada hua tire dar par nahin hooñ main KHaak aisi zindagi pe ki patthar nahin hooñ main kyun gardish-e-mudaam se ghabra na jaa.e dil insaan hooñ piyaala o saaghar nahin hooñ main ya-rab zamaana mujh ko mitaata hai kis li.e lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahin hooñ main had chahiye saza men uqoobat ke vaaste aaKHir gunaahgaar hooñ kaafir nahin hooñ main kis vaaste aziz nahin jaante mujhe la'l o zamurad o zar o gauhar nahin hooñ main rakhte ho tum qadam mirii aankhoñ se kyun daregh rutbe men mehr-o-maah se kam-tar nahin hooñ main karte ho mujh ko man-e-qadam-bos kis li.e kya aasmaan ke bhi barabar nahin hooñ main ghalib vazifa-khwaar ho do shah ko dua vo din ga.e ki kahte the naukar nahin hooñ main
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
More from Mirza Ghalib
raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki
Mirza Ghalib
0 likes
hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Mirza Ghalib
0 likes
dil laga kar lag gaya un ko bhi tanhaa baithna baare apni bekasi ki ham ne paai daad yaa hain zavaal-aamada ajzaa aafreenash ke tamaam mehr-e-gardoon hai charaagh-e-rahguzar-e-baad yaa hai tarhuhum-aafreen aaraish-e-be-daad yaa ashk-e-chashm-e-daam hai har daana-e-sayyaad yaa hai gudaaz-e-mom andaaz-e-chakeedan-ha-e-khoon neesh-e-zamboor-e-asl hai nashtar-e-fassaad yaa naa-gawaara hai ha men ehsaan-e-saahib-daulataan hai zar-e-gul bhi nazar men jauhar-e-faulaad yaa jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kaar vaa kam-tareen mazdoor-e-sangeen-dast hai farhaad yaa qatra-ha-e-khoon-e-bismil zeb-e-daamaan hain asad hai tamasha kardani gul-cheeni-e-jallaad yaa
Mirza Ghalib
1 likes
ham se khul jaao b-waqt-e-may-parasti ek din warna ham chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din gharr-a-e-auj-e-bina-e-aalam-e-imkaan na ho is bulan dii ke naseebon men hai pasti ek din qarz ki peete the may lekin samjhte the ki haan rang laavegi hamaari faqa-masti ek din naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghaneemat jaaniye be-sada ho jaayega ye saaz-e-hasti ek din dhaul-dhappa us saraapa-naaz ka sheva nahin ham hi kar baithe the ghalib pesh-dasti ek din
Mirza Ghalib
1 likes
bahut sahi gham-e-geeti sharaab kam kya hai ghulaam-e-saaqi-e-kausar hooñ mujh ko gham kya hai tumhaari tarz-o-ravish jaante hain ham kya hai raqeeb par hai agar lutf to sitam kya hai sukhun men khaama-e-ghalib ki aatish-afshaani yaqeen hai ham ko bhi lekin ab us men dam kya hai kate to shab kahein kaate to saanp kahlaave koi batao ki vo zulf-e-kham-b-kham kya hai likha kare koi ahkaam-e-taala-e-maulood kise khabar hai ki waan jumbish-e-qalam kya hai na hashr-o-nashr ka qaael na kesh. o millat ka KHuda ke vaaste aise ki phir qasam kya hai vo daad-o-deed garaan-maaya shart hai hamdam vagarna mehr-e-sulemaan-o-jaam-e-jam kya hai
Mirza Ghalib
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mirza Ghalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.







