ghazalKuch Alfaaz

ham se khul jaao b-waqt-e-may-parasti ek din warna ham chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din gharr-a-e-auj-e-bina-e-aalam-e-imkaan na ho is bulan dii ke naseebon men hai pasti ek din qarz ki peete the may lekin samjhte the ki haan rang laavegi hamaari faqa-masti ek din naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghaneemat jaaniye be-sada ho jaayega ye saaz-e-hasti ek din dhaul-dhappa us saraapa-naaz ka sheva nahin ham hi kar baithe the ghalib pesh-dasti ek din

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge

Tehzeeb Hafi

88 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

kahte ho na denge ham dil agar pada paaya dil kahaan ki gum kijeye ham ne muddaa paaya ishq se tabi'at ne zeest ka mazaa paaya dard ki davaa paai dard-e-be-dawa paaya dost-daar-e-dushman hai etimaad-e-dil ma'aloom aah be-asar dekhi naala na-rasa paaya saadgi o purkaari be-khu dii o ahl-e-mohabbat husn ko taghaaful men jurat-aazmaa paaya guncha phir laga khilne aaj ham ne apna dil khun kiya hua dekha gum kiya hua paaya haal-e-dil nahin ma'aloom lekin is qadar ya'ni ham ne baar-ha dhoonda tum ne baar-ha paaya shor-e-pand-e-naaseh ne zakham par namak chhidka aap se koi pooche tum ne kya mazaa paaya hai kahaan tamannaa ka doosra qadam ya rab ham ne dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paaya be-dimaagh-e-khajlat hooñ rashk-e-imtihaan taa-kai ek bekasi tujh ko aalam-aashna paaya khaak-baazi-e-ummeed kaar-khaana-e-tifli yaas ko do-aalam se lab-b-khanda vaa paaya kyun na wahshat-e-ghaalib baaz-khwaah-e-taskin ho kushta-e-tagaaful ko khasm-e-khun-baha paaya fikr-e-naala men goya halka hooñ ze-sar-taa-paa uzv uzv jun zanjeer yak-dil-e-sadaa paaya shab nazaara-parwar tha KHvaab men khayal us ka subh mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paaya jis qadar jigar khun ho koocha daadan-e-gul hai zakhm-e-tegh-e-qaatil ko turfah dil-kusha paaya hai makeen ki paa-daari naam-e-saahib-e-khaana ham se tere kooche ne naqsh-e-muddaa paaya ne asad jafaa-saail ne sitam junoon-maail tujh ko jis qadar dhoonda ulfat-aazmaa paaya

Mirza Ghalib

1 likes

chahiye achhon ko jitna chahiye ye agar chahein to phir kya chahiye sohbat-e-rindaa se waajib hai hazar jaa-e-may apne ko kheecha chahiye chaahne ko tere kya samjha tha dil baare ab is se bhi samjha chahiye chaak mat kar jaib be-ayyaam-e-gul kuchh udhar ka bhi ishaara chahiye dosti ka parda hai begaangi munh chhupaana ham se chhodaa chahiye dushmani ne meri khoya gair ko kis qadar dushman hai dekha chahiye apni ruswaai men kya chalti hai sa'i yaar hi hangaama-aara chahiye munhasir marne pe ho jis ki umeed na-ummee dii us ki dekha chahiye ghaafil in mah-tal'atoon ke vaaste chaahne vaala bhi achha chahiye chahte hain khoob-ruyon ko asad aap ki soorat to dekha chahiye

Mirza Ghalib

2 likes

ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte marte hain wale un ki tamannaa nahin karte dar-parda unhen gair se hai rabt-e-nihaani zaahir ka ye parda hai ki parda nahin karte ye bais-e-naumidi-e-arbaab-e-hawas hai ghalib ko bura kahte hain achha nahin karte

Mirza Ghalib

0 likes

na hui gar mire marne se tasalli na sahi imtihaan aur bhi baaki ho to ye bhi na sahi khaar khaar-e-alam-e-hasrat-e-deedaar to hai shauq gul-cheen-e-gulistaan-e-tasalli na sahi may-parastaan khum-e-may munh se lagaaye hi bane ek din gar na hua bazm men saaqi na sahi nafs-e-qais ki hai chashm-o-charaagh-e-sehra gar nahin sham-e-siyah-khaana-e-laili na sahi ek hangaa men pe mauqoof hai ghar ki raunaq nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shaa dii na sahi na sataish ki tamannaa na sile ki parwa gar nahin hain mire ashaar men maani na sahi ishrat-e-sohbat-e-khooban hi ghaneemat samjhona hui ghalib agar umr-e-tabeei na sahi

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.