ghazalKuch Alfaaz

chahiye achhon ko jitna chahiye ye agar chahein to phir kya chahiye sohbat-e-rindaa se waajib hai hazar jaa-e-may apne ko kheecha chahiye chaahne ko tere kya samjha tha dil baare ab is se bhi samjha chahiye chaak mat kar jaib be-ayyaam-e-gul kuchh udhar ka bhi ishaara chahiye dosti ka parda hai begaangi munh chhupaana ham se chhodaa chahiye dushmani ne meri khoya gair ko kis qadar dushman hai dekha chahiye apni ruswaai men kya chalti hai sa'i yaar hi hangaama-aara chahiye munhasir marne pe ho jis ki umeed na-ummee dii us ki dekha chahiye ghaafil in mah-tal'atoon ke vaaste chaahne vaala bhi achha chahiye chahte hain khoob-ruyon ko asad aap ki soorat to dekha chahiye

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham

Jaun Elia

67 likes

More from Mirza Ghalib

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

gham nahin hota hai azaadon ko besh az-yak-nafs barq se karte hain raushan sham-e-maatam-khaana ham mahfilein barham kare hai ganjinfaa-baaz-e-khyaal hain warq-gardaani-e-nairang-e-yak-but-khaana ham baavjood-e-yak-jahaan hangaama paidaai nahin hain charaaghaan-e-shabistaan-e-dil-e-parwaana ham zof se hai ne qanaat se ye tark-e-justujoo hain wabaal-e-takiya-gaah-e-himmat-e-mardaana ham daaim-ul-habs is men hain laakhon tamannaayein asad jaante hain seena-e-pur-khun ko zindaan-khaana ham bas-ki hain bad-mast-e-b-shikan b-shikan-e-may-khaana ham moo-e-sheesha ko samjhte hain khat-e-paimaana ham bas-ki har-yak-moo-e-zulf-afshaan se hai taar-e-shua panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shaana ham mashq-e-az-khud-raftagi se hain b-gulzaar-e-khyaal aashna taabeer-e-khwab-e-sabzaa-e-begaana ham fart-e-be-khwabi se hain shab-haa-e-hijr-e-yaar men jun zabaan-e-sham'a daag-e-garmi-e-afsaana ham shaam-e-gham men soz-e-ishq-e-aatish-e-rukhsaar se pur-fashaan-e-sokhtan hain soorat-e-parwaana ham hasrat-e-arz-e-tamannaa yaa se samjha chahiye do-jahaan hashr-e-zabaan-e-khushk hain jun shaana ham kashti-e-aalam b-toofaan-e-taghaaful de ki hain aalam-e-aab-e-gudaaz-e-jauhar-e-afsaana ham vehshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na pooch nang-e-baalidan hain jun moo-e-sar-e-deewaana ham

Mirza Ghalib

0 likes

raftaar-e-umr qat-e-rah-e-iztiraab hai is saal ke hisaab ko barq aftaab hai meena-e-may hai sarv nashaat-e-bahaar se baal-e-tadarrav jalwa-e-mauj-e-sharaab hai zakhmi hua hai paashnaa pa-e-sabaat ka ne bhaagne ki goon na iqaamat ki taab hai jaadaad-e-baada-noshi-e-rindaan hai shash-jihat ghaafil gumaan kare hai ki geeti KHaraab hai naz zaraa kya hareef ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqaab hai main na-muraad dil ki tasalli ko kya karoon maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se qaasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai zaahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki garz jo daana daam men hai so ashk-e-kabaab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-laala-zaar ya'ni ye har varq warq-e-intikhaab hai

Mirza Ghalib

1 likes

ghar hamaara jo na rote bhi to veeraan hota bahar gar bahar na hota to biyaabaan hota tangi-e-dil ka gilaa kya ye vo kaafir-dil hai ki agar tang na hota to pareshaan hota baad yak-umr-e-waraa baar to deta baare kaash rizwan hi dar-e-yaar ka darbaan hota

Mirza Ghalib

0 likes

hairaan hooñ dil ko rooun ki peetoon jigar ko main maqdoor ho to saath rakhoon nauhagar ko main chhodaa na rashk ne ki tire ghar ka naam luun har ik se poochta hooñ ki jaaun kidhar ko main jaana pada raqeeb ke dar par hazaar baar ai kaash jaanta na tire rah-guzar ko main hai kya jo kas ke baandhie meri bala dare kya jaanta nahin hooñ tumhaari kamar ko main lo vo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-naam hai ye jaanta agar to lutaata na ghar ko main chaltaa hooñ thodii door har ik tez-rau ke saath pahchaanta nahin hooñ abhii raahbar ko main KHvaahish ko ahmaqon ne parastish diya qaraar kya poojta hooñ us but-e-bedad-gar ko main phir be-khu dii men bhool gaya raah-e-koo-e-yaar jaata vagarna ek din apni khabar ko main apne pe kar raha hooñ qayaas ahl-e-dehr ka samjha hooñ dil-pazeer mata-e-hunar ko main ghalib KHuda kare ki sawaar-e-samand-naaz dekhooñ ali bahaadur-e-aali-guhar ko main

Mirza Ghalib

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.