ghazalKuch Alfaaz

raftaar-e-umr qat-e-rah-e-iztiraab hai is saal ke hisaab ko barq aftaab hai meena-e-may hai sarv nashaat-e-bahaar se baal-e-tadarrav jalwa-e-mauj-e-sharaab hai zakhmi hua hai paashnaa pa-e-sabaat ka ne bhaagne ki goon na iqaamat ki taab hai jaadaad-e-baada-noshi-e-rindaan hai shash-jihat ghaafil gumaan kare hai ki geeti KHaraab hai naz zaraa kya hareef ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqaab hai main na-muraad dil ki tasalli ko kya karoon maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se qaasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai zaahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki garz jo daana daam men hai so ashk-e-kabaab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-laala-zaar ya'ni ye har varq warq-e-intikhaab hai

Related Ghazal

bhula diya tha jis..ko ek shaam yaad aa gaya ghazaal dekhkar vo khush-khiraam yaad aa gaya KHuda ka shukr hai ki saans tootne se peshtar vo shakl yaad aa gaii vo naam yaad aa gaya vo jiski zulf aanchalon ki chaanv ko taras gaii shab-e-visaal us..ko ehtiraam yaad aa gaya main aaj taapsi ki ek film dekhkar hata to mujh...ko ik puraana intiqaam yaad aa gaya

Tehzeeb Hafi

58 likes

yaanii ki ishq apna mukammal nahin hua gar main tumhaare hijr men paagal nahin hua vo shakhs saalon baad bhi kitna haseen hai vo rang canvas pe kabhi dal nahin hua us god jaisi neend muyassar na ho saki utna to makhmali kabhi makhmal nahin hua do chaar raabton ne hi paagal kiya mujhe achha hua jo rabt musalsal nahin hua is baar mere haal pe khulkar nahin hañsi is baar tere gaal pe dimple nahin hua andha vo kyuuñ hua pata lagne ke baad main ta-umr uski aankh se ojhal nahin hua yuñ kheenchti hai teer vo apne nishaane par har ik shikaar mar gaya ghaayal nahin hua

Kushal Dauneria

34 likes

saaf dikhta hai tere chehre pe ishq dale hai deray chehre pe itni shiddat se dekhiye mujh...ko neel pad jaayein mere chehre pe itni aañkhen nahin hai duniya men jitne chehre hain tere chehre pe solhavaan saal lag gaya jaise usne jab haath phere chehre pe ham tujhe dekh hi nahin paa.e itni nazrein thii tere chehre pe

Vishal Bagh

11 likes

ye rahmat ho jaa.e hampar agle saal kaash chale jaayen apne ghar agle saal haath najoomi ne dekha aur ye bola aap safal ho jaayenge par agle saal baarah maas diya hai jitna dukh tumne utni khushiyaan barase tumpar agle saal phone janamdin par hi shaayad vo kar de jal dii aa.e yaar september agle saal ham jaiso ka bachpan ye kahkar guzra le aayenge achchhe number agle saal

Tanoj Dadhich

18 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

ham se khul jaao b-waqt-e-may-parasti ek din warna ham chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din gharr-a-e-auj-e-bina-e-aalam-e-imkaan na ho is bulan dii ke naseebon men hai pasti ek din qarz ki peete the may lekin samjhte the ki haan rang laavegi hamaari faqa-masti ek din naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghaneemat jaaniye be-sada ho jaayega ye saaz-e-hasti ek din dhaul-dhappa us saraapa-naaz ka sheva nahin ham hi kar baithe the ghalib pesh-dasti ek din

Mirza Ghalib

1 likes

koh ke hon baar-e-khaatir gar sadaa ho jaaie be-takalluf ai sharaar-e-jasta kya ho jaaie beza-aasa nang-e-baal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar rihaa ho jaaie wus'at-e-mashrab niyaaz-e-kulfat-e-vahshat asad yak-bayaabaan saaya-e-baal-e-huma ho jaaie

Mirza Ghalib

0 likes

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jaa.e hai main use dekhooñ bhala kab mujh se dekha jaa.e hai haath dho dil se yahii garmi gar andeshe men hai aabgeena tundi-e-sahba se pighla jaa.e hai gair ko ya rab vo kyunkar man-e-gustaakhi kare gar haya bhi us ko aati hai to sharmaa jaa.e hai shauq ko ye lat ki har dam naala kheeche jaaie dil ki vo haalat ki dam lene se ghabra jaa.e hai door chashm-e-bad tiri bazm-e-tarab se waah waah naghma ho jaata hai waan gar naala meraa jaa.e hai garche hai tarz-e-taghaful parda-daar-e-raaz-e-ishq par ham aise khoye jaate hain ki vo pa jaa.e hai us ki bazm-aaraaiyaan sun kar dil-e-ranjoor yaa misl-e-naqsh-e-mudda-e-ghair baitha jaa.e hai ho ke 'aashiq vo paree-rukh aur naazuk ban gaya rang khulta jaa.e hai jitna ki udta jaa.e hai naqsh ko us ke musavvir par bhi kya kya naaz hain kheenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaa.e hai saaya meraa mujh se misl-e-dood bhaage hai asad paas mujh aatish-b-jaan ke kis se thehra jaa.e hai

Mirza Ghalib

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.