ghazalKuch Alfaaz

koh ke hon baar-e-khaatir gar sadaa ho jaaie be-takalluf ai sharaar-e-jasta kya ho jaaie beza-aasa nang-e-baal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar rihaa ho jaaie wus'at-e-mashrab niyaaz-e-kulfat-e-vahshat asad yak-bayaabaan saaya-e-baal-e-huma ho jaaie

Related Ghazal

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

tere jaisa koi mila hi nahin kaise milta kahii pe tha hi nahin ghar ke malbe se ghar banaa hi nahin zalzale ka asar gaya hi nahin mujh pe ho kar guzar gaii duniya main tiri raah se hata hi nahin kal se masroof-e-khairiyat main hooñ she'r taaza koi hua hi nahin raat bhi ham ne hi sadaarat ki bazm men aur koi tha hi nahin yaar tum ko kahaan kahaan dhoonda jaao tum se main bolta hi nahin yaad hai jo usii ko yaad karo hijr ki doosri davaa hi nahin

Fahmi Badayuni

33 likes

dushmanon se bhi dosti rakkhi maine haathon pe zindagi rakkhi mere haalaat chahe jo bhi the tere khaatir kabhi kamii rakkhi ek ladke pe zindagi waari ek ladki sadaa dukhi rakkhi hamne tujhko bhulaane ki khaatir kaise kaison se dosti rakkhi meraa barbaad hona banta tha sabse pahle teri khushi rakkhi

Himanshi babra KATIB

25 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz

Mirza Ghalib

0 likes

hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamaasha ho ki chashm-e-tang shaayad kasrat-e-nazzaara se vaa ho ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-maasi bhi bharoon yak-gosha-e-daaman gar aab-e-haft-dariya ho agar vo sarv-qad garm-e-khiraam-e-naaz aa jaave kaf-e-har-khaak-e-gulshan shakl-e-qumri naala-farsa ho bahm baalidan-e-sang-o-gul-e-sehra ye chahe hai ki taar-e-jaada bhi kohsaar ko zunnaar-e-meena ho hareef-e-vahshat-e-naaz-e-naseem-e-ishq jab aaun ki misl-e-ghuncha saaz-e-yak-gulistaan dil muhayya ho bajaae daana khirman yak-bayaabaan baiza-e-qumri mira haasil vo nuskha hai ki jis se KHaak paida ho kare kya saaz-e-beenish vo shaheed-e-dard-aagaahi jise moo-e-dimaag-e-be-khu dii khwaab-e-zulekha ho dil-e-joo'n-sham'a behr-e-daawat-e-nazzaara laa yaanii nigah labreiz-e-ashk o seena maamoor-e-tamanna ho na dekhen roo-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kaafoori khudaaya is qadar bazm-e-'asad garm-e-tamaasha ho

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-moo aa.e yak martaba ghabra ke kaho koi ki vo aa.e hooñ kashmakash-e-naz'a men haan jazb-e-mohabbat kuchh kah na sakoon par vo mire poochne ko aa.e hai saika o shola o seemaab ka aalam aanaa hi samajh men mirii aata nahin go aa.e zaahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakeerain haan munh se magar baadaa-e-dosheena ki boo aa.e jallaad se darte hain na wa'iz se jhagdate ham samjhe hue hain use jis bhes men jo aa.e haan ahl-e-talab kaun sune taana-e-na-yaft dekha ki vo milta nahin apne hi ko kho aa.e apna nahin ye sheva ki aaraam se baitheenus dar pe nahin baar to ka'be hi ko ho aa.e ki hum-nafson ne asar-e-giryaa men taqreer achchhe rahe aap is se magar mujh ko dubo aa.e us anjuman-e-naaz ki kya baat hai ghalib ham bhi ga.e waan aur tiri taqdeer ko ro aa.e

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.