ghazalKuch Alfaaz

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Related Ghazal

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

kahte ho na denge ham dil agar pada paaya dil kahaan ki gum kijeye ham ne muddaa paaya ishq se tabi'at ne zeest ka mazaa paaya dard ki davaa paai dard-e-be-dawa paaya dost-daar-e-dushman hai etimaad-e-dil ma'aloom aah be-asar dekhi naala na-rasa paaya saadgi o purkaari be-khu dii o ahl-e-mohabbat husn ko taghaaful men jurat-aazmaa paaya guncha phir laga khilne aaj ham ne apna dil khun kiya hua dekha gum kiya hua paaya haal-e-dil nahin ma'aloom lekin is qadar ya'ni ham ne baar-ha dhoonda tum ne baar-ha paaya shor-e-pand-e-naaseh ne zakham par namak chhidka aap se koi pooche tum ne kya mazaa paaya hai kahaan tamannaa ka doosra qadam ya rab ham ne dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paaya be-dimaagh-e-khajlat hooñ rashk-e-imtihaan taa-kai ek bekasi tujh ko aalam-aashna paaya khaak-baazi-e-ummeed kaar-khaana-e-tifli yaas ko do-aalam se lab-b-khanda vaa paaya kyun na wahshat-e-ghaalib baaz-khwaah-e-taskin ho kushta-e-tagaaful ko khasm-e-khun-baha paaya fikr-e-naala men goya halka hooñ ze-sar-taa-paa uzv uzv jun zanjeer yak-dil-e-sadaa paaya shab nazaara-parwar tha KHvaab men khayal us ka subh mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paaya jis qadar jigar khun ho koocha daadan-e-gul hai zakhm-e-tegh-e-qaatil ko turfah dil-kusha paaya hai makeen ki paa-daari naam-e-saahib-e-khaana ham se tere kooche ne naqsh-e-muddaa paaya ne asad jafaa-saail ne sitam junoon-maail tujh ko jis qadar dhoonda ulfat-aazmaa paaya

Mirza Ghalib

1 likes

ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte marte hain wale un ki tamannaa nahin karte dar-parda unhen gair se hai rabt-e-nihaani zaahir ka ye parda hai ki parda nahin karte ye bais-e-naumidi-e-arbaab-e-hawas hai ghalib ko bura kahte hain achha nahin karte

Mirza Ghalib

0 likes

husn-e-mah garche b-hangaam-e-kamaal achha haius se miraa mah-e-khursheed-jamaal achha hai bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigaah jee men kahte hain ki muft aa.e to maal achha hai aur bazaar se le aa.e agar toot gaya saagar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achha hai be-talab den to mazaa us men siva milta hai vo gada jis ko na ho khoo-e-sawaal achha hai un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq vo samjhte hain ki beemaar ka haal achha hai dekhiye paate hain ushshaq buton se kya faiz ik brahman ne kaha hai ki ye saal achha hai hum-sukhan tesha ne farhaad ko sheerin se kiya jis tarah ka ki kisi men ho kamaal achha hai qatra dariyaa men jo mil jaa.e to dariyaa ho jaa.e kaam achha hai vo jis ka ki maal achha hai khizr-sultaan ko rakhe khaaliq-e-akbar sarsabz shah ke baagh men ye taaza nihaal achha hai ham ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai

Mirza Ghalib

1 likes

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-moo aa.e yak martaba ghabra ke kaho koi ki vo aa.e hooñ kashmakash-e-naz'a men haan jazb-e-mohabbat kuchh kah na sakoon par vo mire poochne ko aa.e hai saika o shola o seemaab ka aalam aanaa hi samajh men mirii aata nahin go aa.e zaahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakeerain haan munh se magar baadaa-e-dosheena ki boo aa.e jallaad se darte hain na wa'iz se jhagdate ham samjhe hue hain use jis bhes men jo aa.e haan ahl-e-talab kaun sune taana-e-na-yaft dekha ki vo milta nahin apne hi ko kho aa.e apna nahin ye sheva ki aaraam se baitheenus dar pe nahin baar to ka'be hi ko ho aa.e ki hum-nafson ne asar-e-giryaa men taqreer achchhe rahe aap is se magar mujh ko dubo aa.e us anjuman-e-naaz ki kya baat hai ghalib ham bhi ga.e waan aur tiri taqdeer ko ro aa.e

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.