ghazalKuch Alfaaz

husn-e-mah garche b-hangaam-e-kamaal achha haius se miraa mah-e-khursheed-jamaal achha hai bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigaah jee men kahte hain ki muft aa.e to maal achha hai aur bazaar se le aa.e agar toot gaya saagar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achha hai be-talab den to mazaa us men siva milta hai vo gada jis ko na ho khoo-e-sawaal achha hai un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq vo samjhte hain ki beemaar ka haal achha hai dekhiye paate hain ushshaq buton se kya faiz ik brahman ne kaha hai ki ye saal achha hai hum-sukhan tesha ne farhaad ko sheerin se kiya jis tarah ka ki kisi men ho kamaal achha hai qatra dariyaa men jo mil jaa.e to dariyaa ho jaa.e kaam achha hai vo jis ka ki maal achha hai khizr-sultaan ko rakhe khaaliq-e-akbar sarsabz shah ke baagh men ye taaza nihaal achha hai ham ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

saare ka saara to meraa bhi nahin aur vo shaKHs be-vafa bhi nahin ghaur se dekhne pe boli hai shaa dii se pahle sochna bhi nahin achchhii sehat ka hai meraa mahboob dhoke dete hue thaka bhi nahin j itnaa barbaad kar diya tune utna aabaad to main tha bhi nahin mujh...ko bas itnaa deen aata hai jahaan main KHud nahin KHuda bhi nahin

Kushal Dauneria

43 likes

mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai

Ahmad Abdullah

50 likes

koi haseen to koi dardnaak samjhega meraa mijaaz vahii theek thaak samjhega main jis ke saath kaii raaton se hoon us ka naam bataa to doonga magar tu mazaak samjhega vo jis hisaab se gaata hai us se lagta hai ki mere dukh ko to bas bee praak samjhega

Kushal Dauneria

36 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

raftaar-e-umr qat-e-rah-e-iztiraab hai is saal ke hisaab ko barq aftaab hai meena-e-may hai sarv nashaat-e-bahaar se baal-e-tadarrav jalwa-e-mauj-e-sharaab hai zakhmi hua hai paashnaa pa-e-sabaat ka ne bhaagne ki goon na iqaamat ki taab hai jaadaad-e-baada-noshi-e-rindaan hai shash-jihat ghaafil gumaan kare hai ki geeti KHaraab hai naz zaraa kya hareef ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqaab hai main na-muraad dil ki tasalli ko kya karoon maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se qaasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai zaahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki garz jo daana daam men hai so ashk-e-kabaab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-laala-zaar ya'ni ye har varq warq-e-intikhaab hai

Mirza Ghalib

1 likes

zikr meraa b-badi bhi use manzoor nahin gair ki baat bigad jaa.e to kuchh door nahin vaada-e-sair-e-gulistaan hai khusa taale-e-shauq muzda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par ha men manzoor nahin qatra apna bhi haqeeqat men hai dariyaa lekin ham ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin hasrat ai zauq-e-kharaabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki goon tan-e-ranjur nahin main jo kahtaa hooñ ki ham lenge qayamat men tumhein kis ra'unat se vo kahte hain ki ham hoor nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaaful men kisi rang se ma'zoor nahin saaf durdi-kash-e-paimaana-e-jam hain ham log waaye vo baada ki afshurda-e-angoor nahin hooñ zuhoori ke muqaabil men khifaai ghalib mere daave pe ye hujjat hai ki mashhoor nahin

Mirza Ghalib

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.