mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Related Ghazal
sabne dil se use utaara tha vo mari kab thii us..ko maara tha pairo'n men girke jeeta tha jis..ko us..ko paane men KHudko haara tha tere mere men bat gaya sabkuchh ek taaim tha sab hamaara tha uski yaadon men dil jale hai ab jiska chehra nahin gawara tha maine vo khoya jo meraa nahin tha tumne vo khoya jo tumhaara tha jeet sakaa tha usse main kaatib par bade hausale se haara tha
Himanshi babra KATIB
43 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii
Kumar Vishwas
53 likes
zindagi se badi saza hi nahin aur kya jurm hai pata hi nahin itne hisson men bat gaya hooñ main mere hisse men kuchh bacha hi nahin zindagi maut teri manzil hai doosra koii raasta hi nahin sach ghate ya badhe to sach na rahe jhooth kii koii intiha hi nahin zindagi ab bataa kahaan jaayen zahar bazaar men mila hi nahin jis ke kaaran fasaad hote hainus ka koii ata-pata hi nahin kaise avtaar kaise paighambar aisa lagta hai ab KHuda hi nahin chahe sone ke fra men men jad do aaina jhooth bolta hi nahin apni rachnaon men vo zinda hai noor sansaar se gaya hi nahin
Krishna Bihari Noor
37 likes
abhii ik shor sa utha hai kahii koi KHaamosh ho gaya hai kahii hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahii tujh ko kya ho gaya ki cheezein ko kahii rakhta hai dhoondhta hai kahii jo yahaañ se kahii na jaata tha vo yahaañ se chala gaya hai kahii aaj shamshaan ki si boo hai yahaañ kya koi jism jal raha hai kahii ham kisi ke nahin jahaan ke siva aisi vo khaas baat kya hai kahii tu mujhe dhundh main tujhe dhundhun koi ham men se rah gaya hai kahii kitnii vehshat hai darmiyaan-e-hujoom jis ko dekho gaya hua hai kahii main to ab shahar men kahii bhi nahin kya mira naam bhi likha hai kahii
Jaun Elia
40 likes
More from Ahmad Abdullah
yuñ to har samt hai imdaad ke bazaar khule tere aage hi magar dast-e-gunehgaar khule aapne jurm kiya aapka sar kaatenge aapne ishq kiya aapki dastaar khule mere tohfon ne mohabbat ka bharam tod diya choodiyaan tang nikal aayi hain aur haar khule
Ahmad Abdullah
26 likes
is shehr-e-tamanna men koi mujh sa makeen hai aandhi men charaaghon pe jise poora yaqeen hai usse hi mukhatib hooñ jo aflaak nasheen hai is duniya men sukh naami koi shay bhi kahii hai taabeer bhale cheen le aankhoñ ki basaarat ik khwaab haqeeqat men haqeeqat se haseen hai baarish ki dua tu hai to phir kos-e-qaza main gar tujh sa nahin koi to mujh sa bhi nahin hai jis ja pe dhara rehta tha darvesh ka kaasa daave se ye kahtaa hooñ khazana bhi wahin hai
Ahmad Abdullah
12 likes
zindagi beshumaar raaste hain KHud ko mujhse guzaar raaste hain ek rastaa hai sirf masjid ko maykade ko hazaar raaste hain kaafila mar raha hai sunne ko bol de shah-sawaar raaste hain ishq ne hi kaha tha moosa ko ho ja dariyaa ke paar raaste hain is ilaake men ek shayar hai isliye sogwaar raaste hain
Ahmad Abdullah
23 likes
kar rahe hain sab adab sab theek hai aur vo bhi besabab sab theek hai poochna tha waqee sab theek tha kah rahe the aap jab sab theek hai socho dariyaa haal pooche ek din aur kah den tashna-lab sab theek hai odh li hai chehre pe jhoothi hañsi ab banaa tasveer ab sab theek hai
Ahmad Abdullah
25 likes
aziyyat hai ki roz-o-shab ghutan mehsoos hoti hai bhale hon paas mere sab ghutan mehsoos hoti hai ghutan meri deewani hai ghutan ka main deewaana hooñ zamaane ko bina matlab ghutan mehsoos hoti hai mujhe tujh par nahin KHud par bahut afsos hota hai tere hote hue bhi jab ghutan mehsoos hoti hai vahii jis baag men sab log taza saans lete hain mujhe us baag men bhi ab ghutan mehsoos hoti hai
Ahmad Abdullah
26 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Abdullah.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Abdullah's ghazal.







