aziyyat hai ki roz-o-shab ghutan mehsoos hoti hai bhale hon paas mere sab ghutan mehsoos hoti hai ghutan meri deewani hai ghutan ka main deewaana hooñ zamaane ko bina matlab ghutan mehsoos hoti hai mujhe tujh par nahin KHud par bahut afsos hota hai tere hote hue bhi jab ghutan mehsoos hoti hai vahii jis baag men sab log taza saans lete hain mujhe us baag men bhi ab ghutan mehsoos hoti hai
Related Ghazal
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Ahmad Abdullah
50 likes
koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai kaise kisi ki yaad ha men zinda rakhti hai ek khayal sahaara kaise ho saka hai tujh se jab mil kar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai yaar hawa se kaise aag bhadak uthatii hai lafz koi angaara kaise ho saka hai kaun zamaane-bhar ki thokren kha kar KHush hai dard kisi ko pyaara kaise ho saka hai ham bhi kaise ek hi shaKHs ke ho kar rah jaayen vo bhi sirf hamaara kaise ho saka hai kaise ho saka hai jo kuchh bhi main chaahoon bol na mere yaara kaise ho saka hai
Jawwad Sheikh
39 likes
ye na thii hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota agar aur jeete rahte yahii intizaar hota tire wa'de paar ji.e ham to ye jaan jhooth jaana ki khushi se mar na jaate agar e'tibaar hota tiri nazuki se jaana ki bandha tha ahd boda kabhi tu na tod saka agar ustuvaar hota koi mere dil se paooche tire teer-e-neem-kash ko ye khalish kahaan se hoti jo jigar ke paaar hota ye kahaan ki dosti hai ki bane hain dost naaseh koi chaarasaaz hota koi gham-gusaar hota rag-e-sang se tapakata vo lahu ki pahir na thamta jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota gham agarche jaan-gusil hai pa kahaan bachenge ki dil hai gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota kahooñ kis se main ki kya hai shab-e-gham burii bala hai mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota hue mar ke ham jo rusva hue kyun na ghark-e-dariyana kabhi janaaza uthata na kahii mazaar hota use kaun dekh saka ki yagaana hai vo yaktaa jo dui ki boo bhi hoti to kahii do-chaar hota ye masaail-e-tasavvuf ye tira bayaan ghalib tujhe ham wali samjhte jo na baada-khwaar hota
Mirza Ghalib
9 likes
sar se pa tak vo gulaabon ka shajar lagta hai ba-wazoo ho ke bhi chhoote hue dar lagta hai main tire saath sitaaron se guzar saka hooñ kitna aasaan mohabbat ka safar lagta hai mujh men rehta hai koi dushman-e-jaani meraa KHud se tanhaaii men milte hue dar lagta hai but bhi rakhe hain namaazen bhi ada hoti hain dil meraa dil nahin allah ka ghar lagta hai zindagi tu ne mujhe qabr se kam dii hai zameen paanv failaaun to deewaar men sar lagta hai
Bashir Badr
13 likes
More from Ahmad Abdullah
yuñ to har samt hai imdaad ke bazaar khule tere aage hi magar dast-e-gunehgaar khule aapne jurm kiya aapka sar kaatenge aapne ishq kiya aapki dastaar khule mere tohfon ne mohabbat ka bharam tod diya choodiyaan tang nikal aayi hain aur haar khule
Ahmad Abdullah
26 likes
is shehr-e-tamanna men koi mujh sa makeen hai aandhi men charaaghon pe jise poora yaqeen hai usse hi mukhatib hooñ jo aflaak nasheen hai is duniya men sukh naami koi shay bhi kahii hai taabeer bhale cheen le aankhoñ ki basaarat ik khwaab haqeeqat men haqeeqat se haseen hai baarish ki dua tu hai to phir kos-e-qaza main gar tujh sa nahin koi to mujh sa bhi nahin hai jis ja pe dhara rehta tha darvesh ka kaasa daave se ye kahtaa hooñ khazana bhi wahin hai
Ahmad Abdullah
12 likes
kar rahe hain sab adab sab theek hai aur vo bhi besabab sab theek hai poochna tha waqee sab theek tha kah rahe the aap jab sab theek hai socho dariyaa haal pooche ek din aur kah den tashna-lab sab theek hai odh li hai chehre pe jhoothi hañsi ab banaa tasveer ab sab theek hai
Ahmad Abdullah
25 likes
zindagi beshumaar raaste hain KHud ko mujhse guzaar raaste hain ek rastaa hai sirf masjid ko maykade ko hazaar raaste hain kaafila mar raha hai sunne ko bol de shah-sawaar raaste hain ishq ne hi kaha tha moosa ko ho ja dariyaa ke paar raaste hain is ilaake men ek shayar hai isliye sogwaar raaste hain
Ahmad Abdullah
23 likes
mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Ahmad Abdullah
50 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Abdullah.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Abdullah's ghazal.







